TELEGRAM

Telegram Me Apna Phone Number Kaise Chupaye – Hide your Mobile Number on Telegram

How to hide your mobile number on telegram yani ki telegram me apna phone number kaise chupaye iss post me mein aapko bataunga, so agar aap telegram user hai aur telegram par apne mobile number ko publicly hide karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post ko end tak jarur padhe.

Telegram ek feature packed massaging app hai aur isme users ko bahut se aise features milte hai jisse vo apni privacy ko maintain kar sakte, aur apni personal details ko publicly hide kar sakte hai, aise me iss platform par aap apne mobile number ko bhi easily hide kar sakte hai, puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.

Telegram Me Apna Phone Number Kaise Chupaye – Hide your Mobile Number on Telegram

1 Sabse pehle Telegram app open kare.

2 Ab top left corner me 3 lines par click kare.

3 Iske baad jo options aayenge inme Settings par click kare.

4 Ab next interface me Privacy and security option par click kare.

5 Iske baad next interface me Phone number option ke samne My contacts option par click kare.

6 Ab next interface me 3 options aayenge aur iske sath hi exceptions add karne ka option bhi aayega, jiske through aap niche diye kisi bhi option ko select karne par exception bhi add kar sakte hai.

  • Everyone option ko select karne par publicly koi bhi aapka phone number dekhe sakta hai.
  • My contacts option select karne par sirf aapke telegram contacts hi dekh sakte hai.
  • Nobody option ko select karne par aapka phone number koi bhi nahi dekh payega.

7 Telegram par apne phone number ko publicly hide karne ke liye Nobody option ko select kare aur finally top right corner par Right icon par click kar dijiye.

Iss tarah se telegram par aapke alawa aapka mobile phone number koi bhi nahi dekh payega aur aapka phone number publicly sabhi hide ho jayega.

I hope, telegram par apna mobile number kaise hide karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *