Telegram Me Call Kaise Band Kare
How to stop incoming calls in telegram yani ki Telegram me call kaise band kare iss post me hum janenge so agar aap ek telegram user hai aur telegram par incoming calls aane se disturb ho jate hai aur sabhi incoming telegram calls ko stop karna chahte hai to iss post me aapko telegram calls disable karne ki puri jankari mil jayegi.
Telegram par aap sabhi incoming calls ko apne according manage kar sakte hai, telegram incoming calls ko everyone par set kar sakte hai, sirf apne contacts ko hi call allow kar sakte hai ya fir sabhi ke liye incoming calls ko disable kar sakte hai, agar aap nahi janate ki telegram calls ko disable kaise karte hai to niche diye gaye steps ko follow kare.
Telegram Me Call Kaise Band Kare
1 Sabse pehle Telegram app open kare.
2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.
3 Iske baad Settings option par click kare.
4 Ab settings page me Privacy and security option par click kare.
5 Iske baad privacy section me Calls option par click kare.
6 Ab next interface me calls ko block karne karne ka option aapke samne aa jayega yahapar Who can call me section me:-
- Everyone option by default selected rehta hai jisse ki telegram par koi bhi aapko call kar sakta hai.
- My contacts option ko select kare agar aap chahte hai ki sirf aapke contacts hi aapko call kar paye.
- Nobody option ko select kar lijiye agar telegram par all incoming calls ko disable karna hai.
Iske baad telegram par sabhi incoming calls band ho jayengi aur koi bhi aapko call nahi kar payega, halanki in sabhi conditions me aap call ke liye exceptions add kar sakte hai yahapar Add exceptions section me:-
- Always allow option par click karke apni contact list se unn contacts ko select kar sakte hai jinhe aap chahte hai ki vo har condition me aapko call kar paye.
- Never allow option par click karke contact list se unn contacts ko select kar sakte hai jinhe aap kisi bhi condition me call allow nahi karna chahte hai.
Iske alawa Peer to peer section me Use peer to peer with option par click karke aap telegram par IP address ke through calling ko manage kar sakte hai normal calls ki tarah hi IP address calling ko customize kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki telegram par calls ko band kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe