TELEGRAM

Telegram Ka Internet Band Kaise Kare

How to turn off internet connection for telegram yani ki telegram ka internet band kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne phone ki other apps me net on rakhna chahte hai aur sirf telegram me hi internet connection disable karna chahte hai to iss post me bataye steps ko follow karke aap easily telegram me net band kar sakte hai.

Telegram me net turn off karke aap kuch time ke liye telegram me break le sakte hai aur telegram ki online activity ko kuch time tak disable kar sakte hai, isse other applications me net continuously kaam karta rahega sirf telegram ke liye mobile data band ho jayega, iske liye aapko kya karna hai chaliye iss post me janate hai.

Telegram Ka Internet Band Kaise Kare

Telegram par internet disable karne ke liye 2 methods hum iss post me janenge, first method ke through aap esaily apne android mobile phone me sirf telegram ke liye net band kar sakte hai, lekin agar aapko first method wali setting nahi milti hai to aap second method ka use karke only telegram ka data disable kar sakte hai.

1st Method

1 Sabse pehle apne Phone ki Settings open kare.

2 Ab settings page me Digital Wellbeing & Parental controls option par click kare.

3 Iske baad next interface me Focus mode option par click kare.

4 Iske baad aapke phone all apps ki list open hogi yahapar Telegram ko select kare.

5 Telegram select karne ke baad finally Turn on now option par click kar dijiye.

Iske baad aapke telegram me internet band ho jayega aur ab telegram par koi message send or receive nahi hoga, ye pehle method hai jiske through aap telegram me internet disable kar sakte hai.

2nd Method

1 Sabse pehle Telegram app par Long press kare.

2 Iske baad popup me App info option par click kare.

3 Ab telegram ke app info page me Data usage option par click kare.

  • Disable mobile data option ko enable kar dijiye agar internet ke liye mobile data ka use karte hai.
  • Disable Wi-Fi option ko enable kare agar wi-fi connection ka use karte hai.
  • Background data option ko disable kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke android device me telegram ke liye internet stop ho jayega, koi bhi message aapki telegram app me send receive nahi hoga, iss tarah se aap inn dono hi methods ka use karke telegram ke liye internet off kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki telegram me internet turn off kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.