Telegram ki full security settings ko manage karne ki jankari iss post me hum janenge so agar aap ek telegram user hai to aapko apne telegram account ki security ka bhi khas dhyan rakhna chahiye aur telegram security features ko apne according customise karke use karne ki puri jankari bhi aapko honi chahiye.
Agar aap nahi janate ki telegram ki security settings me aapko kaun kaun se features milte hai aur kaise inn security settings ko apne according manage karna hai to iss post me aapko iske bare me puri jankari ho jayegi, isliye post ko end tak dhyan se jarur padhe to telegram ki security settings ko manage karne ki jankari ke liye niche diye steps follow kare.
Telegram Ki Full Security Settings Sikhe
1 Sabse pehle Telegram open kare.
2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.
3 Ab kuch option aayenge to inme Settings option par click kare.
4 Settings page me Privacy and security option par click kare.
5 Ab next interface me aapke samne telegram ki security settings 3 alag alag features aapke samne aayenge.
Passcode Lock
Passcode lock enable karne ke baad jab bhi aap apne locked telegram ko open karenge to pehle aapko passcode enter karna hoga tabhi aapka telegram account open hoga otherwise nahi.
1 Passcode lock option par click kare.
2 Iske baad next interface me Passcode lock option ko enable kare.
3 Ab next page me passcode lock set karne ka option aayega to yahapar apne according koi bhi 4 digits ka code enter karke Verity kare.
4 Iske baad passcode lock enable ho jayega to yahapar.
- Passcode lock option ko enable disable karke aap iss lock ko on off kar sakte hai.
- Change passcode option par click karke passcode badal sakte hai.
- Unlock with fingerprint option ko agar aap enable kar dete hai to telegram par fingerprint lock bhi lag jayega aur jo fingerprint aapne apne phone me set kiya hoga vahi telegram par apply ho jayega, fir aap fingerprint se locked telegram ko unlock kar sakte hai ya fingerprint skip karke passcode se bhi unlock kar sakte hai.
- Auto lock option ke through aap telegram automatically lock hone ki setting ko enable disable kar sakte hai aur minimum 1 minute or maximum 5 hours tak ka auto lock time set kar sakte hai.
- Show app content in task switcher option agar enable hai to aap telegram ki kisi bhi screen ka screenshot le sakte hai, recent button se dusre app me jate time telegram minimize hone par telegram ke content show hote rahenge. Agar ye option disable hoga to telegram par screenshot band ho jayega, aur task switch karte time telegram contents aapko show nahi honge.
Two Step Verification
Two step verification option ko agar aap enable kar dete hai to aapke account par extra security enable ho jayegi aur jab bhi aap kisi other device me apne telegram account login karenge to pehle aapko two step authentication password enter karna hoga aur uske baad SMS ke through mile huye code ko enter karna hoga tabhi aapka telegram account other device me login hoga.
Aise me koi bhi hacker aapke telegram account ko hack nahi kar payega kyuki jab koi aapke telegram account ko access karne ki koshish karega to pehle usse password enter karna hoga jo sirf aapko pata hoga aur agar password usse pata chal jata hai to bhi hack nahi kar payega kyuki login karne ke liye verification code ki jarurat hogi jo ki aapke mobile me SMS ke through aayega.
1 Sabse pehle Two step verification option par click kare.
2 Iske baad next interface me Set password option par click kare.
3 Ab jo next page open hoga isme apne according apna Password enter karke Continue option par click kare.
4 Iske baad next interface me Same password re-enter karke Continue option par click kare.
5 Ab next page me apne according apna Password hint enter kare.
- Password hint alternate password ki tarah kaam karta hai.
- Jahapar bhi second password enter karne ko pucha jayega vahapar password hint enter kar sakte hai.
6 Iske baad next interface me apna Recovery email enter karke Continue option par click kare.
- Yahapar top right corner me Skip option par click karke iss step ko cancel kar sakte hai.
- Lekin recover email bahut hi important hota hai agar aap apna password bhul jate hai to recovery email ke through aap easily apne password ko recover or reset kar sakte hai.
7 Ab next interface me Code enter karne ka option aayega aur iske sath aapke recovery email par ek mail aayega jisme ek code milega to iss code ko note kare.
8 Iske baad wapas telegram open kare aur finally Code ko enter kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke telegram account par two step verification option enable ho jayega aur ab jab bhi aap kisi other device me telegram login karenge to password aur otp ko enter karna hoga tabhi aapka telegram account open hoga ab yahapar Return to settings option par click kare.
- Change password option par click karke aap apne two step password change kar sakte hai.
- Turn password off option par click karke iss password ko disable kar sakte hai.
- Change revovery email option par click karke apna recovery email badal sakte hai.
Active Sessions
Active sessions option par click karke aap apne unn sabhi devices ko dekh sakte hai jinpar aapka telegram account logged in hoga aur agar koi unknown device yahapar aapko show hota hai to iska matlab hoga ki aapka account hacked hai fir aap hacker ke device ko logout karke account safe kar sakte hai.
- Link desktop device option par click karke aap apne telegram ka QR code scanner open kar sakte hai aur other device me telegram QR code ko scan karke apna telegram account uss device me login kar sakte hai.
- Unknown device show hone par uspar click karke aap hacker ki location, device name aur IP address dekh sakte hai aur bottom side me Terminate session option par click karke hacker ka access remove kar sakte hai.
- Automatically terminate old sessions section me If inactive for option par click karenge to ek popup window open hogi to isme 1 week option ko select kar denge to ek week ke baad old sessions automatically termnate ho jayege, yahapar aap 1 week, 3 months, 6 months aur 1 year tak ka self destrut session time set kar sakte hai.
Iss tarah se aap upar diye teeno hi option ko enable karke apne telegram account ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai.
I hope aapko telegram ki full security settings ko manage karne ki ye jankari helpful lagi hogi, agar post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.