X
    Categories: TELEGRAM

Telegram Par Nearby Users Ko Message Kaise Kare – Telegram Find People Nearby

Telegram find people nearby option ka use kaise kare ya telegram par nearby users ko message kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap telegram user hai to aap apne aaspaas ke users ko easily find kar sakte hai, iske liye aapko niche diye steps ko follow karna hai.

Telegram par find people nearby feature ke through aap apni location ke nearby jitne bhi users hai unhe find kar sakte hai, iss list me jo bhi user aapke sabse najdik hoga vo sabse upar show hoga issi tarah se ascending order me aapko nearby peoples ki list show hogi.

Iss list me aap jiss bhi user ko janate hai aur vo aapka telegram par friend nahi hai usse aap message kar sakte hai aur telegram par uske sath connect ho sakte hai. Telegram par nearby users ko find karke message kaise karte hai iski puri jankari ke liye niche diye steps ko follow kare.

Telegram Par Nearby Users Ko Find Kaise Kare – Telegram Find People Nearby

1 Sabse pehle Telegram open kare.

2 Ab top left corner me 3 lines par click kare.

3 Iske baad kuch option aayenge to inme Contacts option par click kare.

4 Ab Next interface me Find people nearby ke option par click kare.

5 Ab jo nearby peoples ki list aapke samne aayegi isme jiss user ko message bhejna hai uske profile name par click kare.

6 Iske baad bottom side me Send Message option par click kare.

7 Ab uss user ki chat open ho jayegi yahapar message bar me koi bhi Message type kare aur Send button par click kar dijiye.

Iss tarah se aap telegram par easily nearby users ko find kar sakte hai aur unhe message bhi kar sakte hai agar aap unhe pehchante hai to, so i hope aapko ye jankari helpful lagi hogi aur ye post pasand aayi hogi, agar aapko ye post acchi lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More