Telegram ki Download History Kaise Dekhe
How to check telegram download history yani ki telegram ki download history kaise dekhe iss post me hum janenge so agar aap telegram users hai aur telegram par apni download history dekhna chahte hai aur nahi janate ki telegram downloading history check kaise karte hai to iss post me aapko iski puri step by step jankari mil jayegi.
Agar aap telegram par alag alag movies dekhte hai aur movies ya other videos dekhte hai aur unhe download karte hai to uski ek alag se history create hoti hai jise aap kabhi dekh sakte hai agar aap nahi janate ki telegram par download history kaise check karte hai to niche diye steps ko follow kare.
Telegram ki Download HistoryKaise Dekhe
1 Sabse pehle Telegram open kare.
2 iske baad top left corner me 3 lines par click kare.
3 Ab jo option aayenge inme Settings option par click kare.
4 Iske baad Data and storage option par click kare.
5 Ab next interface me Storage usage option par click kare.
6 Iske baad bottom site me chats tab ke aagey Media tab par click kare.
Iske baad next interface me aapke samne aapki download history aa jayegi yahapar vo sabhi videos aapko show ho jayenge jinhe aapne telegram par download kiya hoga.
Ab agar aapko apni all download history clear karni hai to yahapar sabhi videos ko one by one karke select kare aur fir top right corner me Clear option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap telegram ki all download history dekh sakte hai aur sath hi sabhi downloaded video ko select karke download history ko clear bhi kar sakte hai.
I hope, aap samajh gaye honge ki telegram ki download history kaise dekhte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe