Telegram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Telegram Security Setting
Telegram account hack hone se kaise bachaye iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap telegram user hai to aapko apne account ki security ka bhi khas dhyan rakhna chahiye aur apne telegram account ko more safer aur more secure banana chahiye, isliye iss post me bataye gaye steps ko follow kare aur apne account ko hacking se kaise secure karte hai iss post me padhe.
Hacking aajkal aam ho gayi hai aur aksar logo ke social accounts hack ho jate hai aise me ho sakta hai ki aapke telegram account ko bhi hacker hack kar le, isliye isse pehle aap apne telegram account par niche bataye steps follow karke security ko enable kar lijiye, jiske baad aapka telegram account puri tarah se safe aur secure ho jayega, chaliye step by step pura process janate hai.
Telegram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Telegram Security Setting
1 Sabse pehle Telegram app open kare.
2 Ab top left corner me 3 lines par click kare.
3 Iske baad Settings option par click kare.
4 Ab next interface me Privacy and security option par click kare.
5 Iske baad security section me Passcode lock option par click kare.
6 Ab next interface me Passcode lock option ke samne Toggle button par click kare.
7 Iske baad next interface me apne according apna 4 digits ka passcode enter karke verify kare.
- Iske baad aapke telegram chat page ke top side me lock icon add ho jayega jiske through aap kabhi bhi chats ko lock unlock kar sakte hai.
- Yahapar Unlock with fingerprint option enable rehta hai jisse jab bhi aap telegram lock ho jane ke baad aap open karenge to fingerprint enter karne ka option aayega agar aapne phone me fingerpring option setting ko enable kiya hoga.
8 Iske baad aapko back aana hai aur Two step verification option par karna hai.
9 Ab next interface me Set password option par click kare.
10 Iske baad next interface me apna Password set karke Continue option par click kare.
11 Ab next page me apne according koi bhi Hint enter kare, otherwise isse Skip bhi kar sakte hai.
12 Iske baad next interface me Recovery email enter karke Continue option par click kare.
13 Ab next interface me Verification code enter kare jo aapke registered email id par send kiya gaya hai, aur Continue option par click kar dijiye.
- Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke telegram account me two step authentication code enable ho gaya hai aur ab jab bhi aap kisi new device me telegram login karenge ya logout karke login karenge to aapke phone number par verification code aayega.
- Verification code enter karne ke baad hi aap apne telegram account me login kar payenge otherwise nahi, aise koi bhi unknow person aapke telegram account ko hack nahi kar payega kyuki login karne ke liye usse verification code ki jarurat hogi jo aapke mobile number par aayega.
I hope, telegram account ko hack hone se kaise bachaye ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhke
thanks