Telegram account dusre phone me kaise chalaye ek hi time par iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap apne telegram account ko multiple devices me login karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post diye gaye easy steps ko follow karke aap easily apne telegram account ko apne hi another mobile phone me login kar sakte hai.
Telegram ki ye jo trick mein aapko batane wala hu iska use aap tak kar sakte hai jab aapke phone me kuch process chal raha ho aur aise me aapko apna telegram account bhi use karna ho aisi condition me aap apne telegram account ko apne dusre mobile, computer or laptop se connect karke use kar sakte hai, telegram account ko other device me use karne ke liye niche diye steps follow kare.
Telegram Account Dusre Phone Me Kaise Chalaye
1 Sabse pehle apne dusre phone me Google chrome open kare.
2 Iske baad Web.telegram.org ki site open kare.
3 Ab next interface me telegram me login karne ka option aayega to yahapar Login by QR code option par click kare.
4 Iske baad apne pehle phone me Telegram app open kare.
5 Ab top left corner me 3 lines par click kare.
6 Iske baad Settings option par click kare.
7 Settings page me Privacy and security option par click kare.
8 Ab next interface me Active sessions option par click kare.
9 Iske baad next interface me Link desktop device option par click kare.
10 Ab QR cord scanner open hoga to dusre phone me open QR code ko scan kare.
Lijiye aapka kaam ho gaya QR code scane hote hi aapke dusre mobile par bhi aapka telegram account login ho jayega, ab aap ek hi time par dono alag alag devices par apna telegram account use kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki apna telegram account another mobile phone me kaise use karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe