X

Yandex Webmaster Tools Me Blog Submit Kaise Kare

Agar aap blogging karte hai aur abhi tak apni site ko webmaster tools me submit nahi kiya hai to yeh ek bahut badi galti hai, kyuki aisa na karne se aap apne blog me high quality traffic nahi la payenge, isliye sabse pehle blog ke on site seo ke liye apne blog ko alag alag search engines me submit kijiye, pichli post me humne jana ki google search consol aur bing webmaster tools me site submit kaise karte hai, aur aaj hum janenge ki yandex webmaster tools me blog ko sumit kaise karte hai, to chaliye start karte hai.

Google search console aur bing webmaster ki tarah hi yandex webmaster tools bhi ek search engine hai. humari site ko other search engines me index karne aur blog ke keywords provide karne me yandex webmaster kafi help karta hai, aur agar aap apni site ko globaly popular karna chahte hai to other webmaster tools ke sath sath yandex webmaster tools me bhi apni site ko submit kare.

Yandex Webmaster Tools Me Blog Submit Kaise Kare/How To Submit Blog To Yendex Webmaster Tools

Google aur bing webmaster ki tarah hi yandex webmaster tools me blog submit karna bahut easy hai, yandex verification ke liye niche diye steps ko follow kare.

 

??Robot Text File Ko Blog Me Kaise Add Kare

Step 1

Sabse pehle mail.yandex.com link me jaye aur create account button par click karke apna account bana lijiye,

 

??Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare

Step 2

Ab yandex me account banane ke baad yandex webmastser site add ki link par click kare.

  1. Apni website ka address dale.
  2. Add button par click kare.

 

??Youtube Channel Ki Earning Report Kaise Check Karte Hai

Step 3

Ab agle page me aapko ek verification of rights ke niche ek code milega, aapko iss code ko copy karna hai aur apne blog me add karna hai.

  1. Meta tab me click kare.
  2. Meta code copy kar lijiye, ab agar aapka blog blogger par hai to apne blogger dashboard > templates > edit HTML par click kare, aur <head> ke thik niche paste kare aur save template par click kar dijiye, aur agar aapka blog wordpress me hai to wordpress dashboard > appearance > editor > theme header par click kare aur yaha bhi <head> ke niche meta code paste kare aur bottom side me update file button par click kar dijiye.
  3. Check button par click kare.

Lijiye check button par click karte hi aapki site yandex webmaster tools me submit ho gayi hai, agar koi problem aaye ya phir aapka koi saval ho to comment ke through puch sakte hai, aur agar ye article accha laga ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (8)

  • Sir ek post guest post ka kre wordpress ke liye. Mera mtlb hai mai chahta hu mere site pe koi bhi aake guest post kr sake. Iske liye mujhe kya krna pdega.

    • Aap apni kisi b post me bloggers ko invite kar sakte ho guest post karne k liye but sabse pehle apni site ka traffic rank increase kare kyuki bloggers yahi dekh kar dusri site par guest post karte hai

  • Sir,
    main aapse ek jaankari ko paana chahata hu.yeh meri site http://www.knowledgehindi.com hai.issko ek baar chek karke dekh lo issme keya problam hai.yeh abhi adseance ke liye redy hai ya nhi .agar nhi to solution bataye agar haa to uski prosess bataye.

    • sabse pehle to site navigation ko thik kijiye jaise niche menu ko top me show kijiye. aur sitemap ko html section me paste kijiye. aur 2-3 post aur publish kijiye uske baad adsense ke liye apply kar sakte ho.

  • Sir mera blog wordpress par kya me yoest plugin se jo sitemap generate hota hai use sabhi search engine google bing yandex me submit kar sakta hu

  • HELLO sir kya yandex webmaster tools, me google web master ki tarah post ko add karna nai hota kya??