FACEBOOKINSTAGRAM

Facebook Story Instagram Pe Share Hone Se Kaise Roke

How to stop sharing facebook story on instagram yani facebook story instagram pe share hone se kaise roke iss post me mein aapko batane wala hu, agar aapka facebook aur instagram dono hi platforms par account hai aur me jab bhi aap facebook par story upload karte hai vo automatically instagram account par bhi share ho jati hai to isse rokne ke liye aapko kya karna kaun si setting disable karni hai iske liye niche bataye steps follow kare.

Mostly users ko ye cross posting feature pasand aata hai lekin vahi bahut se users aise bhi jo iss feature ko storp karna chahte hai vo nahi chahte ki facebook account par share ki gayi story instagram par automatically share ho jaye isliye iss post me jo easy tarika mein aapko batane wala hu iske through aap easily facebook par upload ki gayi apni story ko instagram par auto share hone se rok sakte hai, to chaliye step by step janate hai.

Facebook Story Instagram Pe Share Hone Se Kaise Roke

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.

3 Ab next interface me Settings and privacy option par click kare.

4 Iske baad Settings option par click kare.

5 Ab next interface me Stories section me Story settings option par click kare.

6 Story settings me Story privacy option par click kare.

7 Ab next interface me bottom side me Always share to instagram option ke samne toggle button disable kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad jab bhi aap apne facebook account par story post karenge to vo automatically instagram account par share nahi hogi, iss tarah se aap instagram par automatically share hone wali facebook story ko stop kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gay honge ki facebook story ko inatagram par share hone se kaise rok sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *