X

Feedburner Par Email Subscription Kaise Enable Kare

Feedburner par email subscription kaise enable kare iss post me hum janenge, pichli articles me humane jana tha ki feedburner par feed kaise create karte hai. Aur feed banane ke baad blog me feedburner feed kaise add karte hai. I hope aapne apna feedburner feed create karke blog me add kar liya hoga. Ab next process me aapko apne blog par email subscription start karna hai.

Agar aapne abhi tak feedburner email subscription ko enable nahi kiya hai. To jab bhi visitors aapke blog ko subscribe karenge, to unhe kuch iss tarah ki error show hogi. Isme likha hoga ki email subscriptions band hai, niche image dekhe.

 

Email subscription ke bahut fayde hai, aur agar aapka blog hai to ye bahut jaruri bhi bhi hai. Feedburner email subscription ki help se aap apne blog ki traffic increase kar sakte hai. Kyuki jab koi aapke blog par email subscribe karega to aapki next post ki notification email ke through subscribers ko mil jati hai.

Feedburner Par Email Subscription Kaise Enable Kare

To abhi tak aap samajh hi gaye honge ki blog ke liye email subscription kitna jaruri hai. Email subscriptions kaise enable karte hai, chaliye niche diye easy steps me janate hai.

Step 1

Sabse pehle apne feedburner account me login kare, aur apne feed par click kare.

 

Step 2

Ab next page me aapka feedburner feed ka dashboard open hoga. Isme niche diye steps follow kare.

  1. Publicize tab par click kare.
  2. Email Subscriptions par click kare.
  3. Activate button par click kare.

Lijiye aapka feedburner email subscription enable ho chuka hai. Ab aapke visitors aasaani se aapke blog ko subscribe kar sakenge. Aur unko kisi bhi tarah ki error show nahi hogi.

Feedburner me email subscription kaise chalu karte hai, ab aap samajh gaye honge. Iss article se related kisi bhi tarah ka saval ho to comment karke puch sakte ho. Agar ye jaankari aapko helpful lage to social media par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (6)

  • "Mogombo khus huya". Mereko aisa ek wwebsite ki talas tha jahapar meri samajki vasa ho. Bohot accha laga. Ab dubara bina puchke Feedburner activate karsakta hu. actually mein ak blogger hu (blogspot) custom remplete use karne ke bad email subcription off tha. Ab mereko pura jankari milgaya. thank you admin

  • Sir feedburner. Se mera puri post hi. Email dvara subscriber ke pass pahuch jati he isme esa option nhi hota. He. Ki only link hi subscriber ke pass pahuche

    • iske liye feedburner feed feed account me login kar optimize > summary burner > par click kare aur meximum length me 0 type kar active par click kar dijiye.

  • kya feedburner apne aap email bhejta he jb bhi kuch aapki feed link pe update hota he? Because in my case it is not working.