Without www. Ke Website (Blog) Ko Kaise Open Kare
Pichli kuch posts me hum jaan gaye hai ki blogger me blog kaise banate hai. Aur apne blog ko domain se connect karne ke liye godaddy se domain name register kaise karte hai. Ab aage ki process me mein aapko bataunga ki apni website ko without www. ke kaise set karte hai.
Blog Ya Website Ko Without WWW. Ke Set Kyu Kare
Blogger me humare blog ka address abc.blogspot.com kuch iss tarah se hota hai, aur domain register karne ke baad ye www.abc.com ho sakta hai, ye to aap janate hi honge. Domain register karne ke baad jab hum website ko open karte hai to ye bina www. ke open nahi hoti hai, aur error show hota hai. Aur jab hum website ke aage www. lagate hai, to hi humara blog open hota hai.
Agar aapne apni website ka name apne kisi friend ya janane wale ko bataya aur vo www. lagaye bina aapki website open karta hai, to usse error show hoga aur phir aapko usse batana padega ki iske aage www. bhi lagana hai, iske baad hi website open hogi.
Lekin short domain hamesha accha hota hai, aur isliye humari website aisi honi chahiye jo bina www. ke bhi open ho sake aur www. ke sath bhi, lekin apni website ko without www ke set karne ke liye aapko apne domain registered site pe jakar isski kuchh setting karni hogi.
Godaddy domain registration ke bare me humne aapko pehle bhi bataya hai, isliye aaj hum aapko batayenge ki godaddy site me without www. ke setting kaise change karte hai, Sabhi domain provider sites me lagbhag same setting hoti hai.
Apni Website (Blog) Ko Without www. Ke Kaise Set Kare
Domain name ko without www ke kaise set karte hai, ye janane ke liye niche diye gaye steps ko folow kare. Aur apni website ko bina www. ke set kare.
Step 1
Sabse pehle apni domain registered site godaddy me login kare, aur apne domain name me jaye.
- DNS zone file me jaye.
- Add record ke link par click kare.
Step 2
Ab ek popup window open hogi, isme record type me A (Host) select kare.
- Record type: A (Host) select kare.
- Host: me @ sign enter kare.
- Points to: me niche diye gaye 4 IP address me se koi bhi ek enter kare.
- 216.239.32.21
- 216.239.34.21
- 216.239.36.21
- 216.239.38.21
- TTL: me 1 hour rehne dijiye.
- Finish button par click kare.
Step 3
Finish ki button par click karte hi iss setting ko save karne ka option aayega, yaha par Save Changes par click kare.
- Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
- Hostgator Hosting Me WordPress Blog Install Kaise Kare
Step 4
Godaddy domain me setting complete hone ke baad, ab apne blogger dashboard me login kare.
- Settings me jaye.
- Basic par click kare.
- Blog url ke samne edit link par click kare, aur redirect ke tick box me tick kar dijiye.
- Save ki button par click kare.
Save button par click karte hi aapki problem solve ho gayi hai, ab aap without www. ke bhi apni website ko open kar sakte hai.
I Hope bina www. ke apni website kaise set karte hai, ab aap samajh gaye hong, phir bhi ko saval ho to aap comment karke puch sakte hai, hume reply karne me khushi hogi. Aur agar aapko ye post helpful lagi ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
thanks for sharing information …..bahut hy achhy jankari di he aapne.
thanks
apke bataya anusar mene setting kiya lekin blog ka setting me redirect nehi ho raha hai. 1st IP address add kiya. sab ko ek ek karke dekhna hoga kya ?
nahi kisi ek ko try kijiye aur blog me use missing file host ko Yes/No set kijiye.
Sir ji bahut badhiya jankari di hai aapne, aapne jis tarah step bataya hai usi tarah maine godaddy domen me setting kiya hai. mera blog. http://www.abletricks.com ab usme 24 hours me setting update hongi hai bataya hai. kya sach me mera blog bina www ke open ho jayega. kyoki maine isase pahle ek bar aisi setting ki thi. fir bahut dino tak bina www ke blog open hota tha lekin aaj mera blog bina www ke open nahi ho raha hai.
Please sir mera blog check karke meri problem solve karne me meri madad kare.
steps ko follow karenge to jarur without www aapki website open hogi, aapki site mene check ki hai abhi bhi bina www ke open ho rahi hai
bro mara nahi open ho raha plz check karke bataye kya problam h
aap ek baar dubara se bataye gaye steps ko sahi se follow kijiye
SIR MERA BLOGGER PE REDIRECT DOMAIN KA ON\OFF BUTTON NHI CHAL RHA JISS SE ME REDIRECT KAR SAKU.