X
    Categories: INSTAGRAM

Instagram Par Quick Reply Set Kaise Kare – Set Instagram Quick Reply

Instagram par quick reply set kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap instagram user hai aur regularly instagram direct messages ke through apne friends ke sath chat karte hai to aapko quick reply enable kar dena chahiye.

Apne Instagram accound me quick reply enable karne ke baad aap fast tarike se apne kisi bhi friend ke messages ka reply kar sakte hai, quick reply set karne ke liye aapko apne phone keypad ki alag alag keys par apne according alag alag messages asign karne hai.

Jiske baad aap bahut hi jaldi se kisi bhi friend ke message ka jawab de sakte hai, iske liye aapko iss post me bataye gaye steps ko follow karna hai, jiske baad alag alag keys press karke aap kisi bhi message ka reply kar sakte hai, puri jankari ke liye niche diye gaye steps follow kare.

Instagram Par Quick Reply Set Kaise Kare – Set Instagram Quick Reply

1 Sabse Instagram open karke bottom right corner me apne profile icon par click kare.

2 Ab apne profile page me top right corner par 3 lines par click kare.

3 Iske baad kuch options aayenge to yahapar bottom side me Settings option par click kare.

4 Ab next interface me thoda niche scroll kare aur Swithc to professional account option par click kare.

5 Iske baad next interface me aapko right side swape karte jana hai aur last page me koi bhi Category Select karke bottom side me Next button par click kare.

6 Ab aapke samne Creator aur Business do options aayenge to inme kisi ek ko select karke page create kare.

7 Iske baad aapko instagram ki settings page me aana hai aur Business/Creator option par click karna hai.

8 Click karte hi aapke samne kuch aur options aayenge to yahapar Saved reply option par click kare.

9 Ab jo next interface open hoga isme aapko Plus (+) icon par click karna hai.

10 Ab aapke samne 2 options aayenge to yahapar aapko message ki field me koi bhi message enter karna hai. Aur Shortcut ki field me koi bhi alfa ya numeric key enter karni hai aur finally top right corner me Right icon par click kar dena hai.

Iske baad aapki uss keypad key par aapka message asign ho jayega aur ab aapko apna DM open karke kisi bhi friend ki chat open karni hai.

Aur jo key aapne quick reply me set ki hai usse message bar me type karne hai aur Send option ke left side me Message icon par click karna hai.

Iske baad aapka set kiya message show ho jayega ab finally Send button par click karke message bhej dijiye, to iss tarah se aap apne instagram accounr par quick reply set kar sakte hai.

I hope Instagram par quick reply kaise enable kare ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari pasand aayi ho to iss apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More