TELEGRAM

Telegram Secret Chat Start Kaise Kare – Create Secret Conversation on Telegram

Telegram secret chat start kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap telegram use karte hai aur telegram par apne kisi friend ke sath secret chat karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to iss post me aapko iske bare me pata chal jayega.

Telegram chat end to end encrypted to hai hi sath hi yahapar aapko ek aisa feature bhi milta hai jiske through aap apne kisi bhi friend ke sath secret conversation kar sakte hai, ek aisi conversation jiska pata aapke aur aapke friend ke alawa kisi third person ko nahi chalega.

Yahi nahi telegram par aap apne friend ko ek aisa message bhi bhej sakte hai jo aapke set kiye time ke according automatically delete ho jayega, aap message par jo bhi timer set karenge, aapke friend ke padhte hi uss time par aapka message apne aap remove ho jayega.

Yani ki aap apne kisi bhi friend ko disappearing message bhej sakte hai aur iss conversation me jo bhi chat aap ek dusre ke sath karenge to aapke set kiye timer ke according, ek dusre ke message padhte hi disappear ho jayega, puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.

Telegram Secret Chat Start Kaise Kare – Create Secret Conversation on Telegram

1 Sabse pehle apna Telegram app open kare.

2 Ab apne uss Friend ki chat open kare jiske sath secret convesation start karna chahte hai.

3 Iske baad top side me friend ke Profile name par click kare.

4 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.

5 Iske baad kuch option aayenge to inme Start secret chat option par click kare.

6 Ab ek popup open hoga to isme Start option par click kare.

7 Iske baad aap message bar me message type karke Send kar dijiye.

Iss tarah se aap jo bhi conversation apne friend ki iss chat me karenge vo puri tarah se secret rahegi aur aapke aur apke friend ke alawa iss chat ko koi bhi third person dekh nahi payega, yaha tak ki telegram bhi nahi.

Set Self Destruct Timer (Disappearing Message)

Apne friend ki secret chat open karne ke baad aap ek aisi conversation bhi apne friend ke sath kar sakte hai jo automatically aapke set kiye gaye timer ke according delete hoti rahegi, iske liye niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle apne friend ki Secret chat open kare

2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.

3 Ab kuch options aayenge to inme Set selft-destruct timer option par click kare.

4 Iske baad 1 second se lekar 1 week tak ka timer set karne ka option aayega to yaha se apne according koi bhi Disappearing time select karke Done option par click kare.

5 Ab apna message type karke send kar dijiye.

Message send hone ke baad jaise hi aapka friend aapke message ko dekhega, aapke set kiye timer ke according message automatically remove ho jayega.

Issi tarah se agar aapka friend bhi aapko iss chat me message ka reply bhejega vo bhi aapke padhete hi ussi timer ke according delete ho jayega.

I hope, aap samajh gaye honge ki telegram par secret chat start kaise karte hai, kaise aap apne kisi bhi friend ko self destructed message bhej sakte hai ye aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friend ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.