Agar aapka blog ya website hai ya aap koi online business karte hai. Aur apne business ko search engine me top rank par lana chahte hai. To iske liye aapko search engine optimization (SEO) ki jankari hona behad jaruri hai. Seo ke different types kaun kaun se hai iski jarnkari bhi aapko honi chahiye.
Yahapar mein aapko search engine optimization (SEO) ke 3 types. Black hat seo, White hat seo aur Grey hat seo ke bare me jankari dunga. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye janate hai SEO ke inn 3 types ke bare me.
- Blog Traffic Increase Karne Ke Most Popular Tarike
- Do Follow Backlinks Kaise Create Kare
- Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare
Search Engine Optimization (SEO) Ke Different Types in Hindi
Kisi bhi online business ya website ki search ranking par Black hat seo. White hat seo aur Grey hat seo alag-alag tarah se effect karte hai. Aur ye effect acche aur bure dono tarah ke hote hai. Isliye aapko inn different seo types ke bare me janana chahiye. To chaliye start karte hai aur janate hai search engine optimization (SEO) ke different types.
Black Hat SEO
SEO services ki different types me se ek black hat seo vo trick hai. Jiska use karke aap apne website ki search ranking manupulate kar sakte hai. Black hat seo mostly search engine ke terms and rules ko follow nahi karte hai.
Black hat seo vo method hai jisme blogger topic se opposite keywords ko post me use karte hai. Iss tarah ke keywords visitors ko disappoint karte hai. Aisa karne se vo search engine me top rank me pahuch to jate hai. But google isse spam kar kar sakta hai aur site ko black list me add kar sakta hai. Yahi nahi aapki site ko banned bhi kar sakta hai. Kyuki iss method me search engine guidelines ka ignore kiya jata hai.
White Hat SEO
White hat seo totally contents ki quality par based hai aur black hat seo ke bilkul opposite hai. Iss method me high quality keywords aur relavant keyword ka use hota hai. Jiski help se blog post search engine me first rank me aa sakti hai.
Iska method se result thoda delay ho sakta hai. But white hat seo sabse best SEO strategy hai. Jiski help se aap apni post ko boost kar sakte hai. Aur search engine me apne blog ko rank kar sakte ho. Iss tarah ke quality contents use karne se aapke visitors bhi aapse jude rehte hai. White hat seo search engine guidelines ko follow karta hai.
Grey Hat SEO
Gray hat seo upar diye dono method black hat aur white hat seo ka combination hai. Iss method se aap apni site ko jaldi se top rank me la sakte hai. But grey hat seo bhi site ke liye risky ho sakta hai.
I hope aapko ye jankari search engine optimization (SEO) ke different types acchi lagi hogi. Iss post se related aapka koi bhi sawal ho to comment jarur kare.
View Comments (4)
Hi Ramesh
sir aapne different types ke seo ke baare me bahut achi si jankari di hai sir kya aap koi pluggins ka naam bata sakte hai jiske madhyam se hum easily seo kar sakte hai?.
niraj ji iske liye aap yoast seo plugin use kar sakte hai
online bachelors degree in 1 year in india
Hi Ramesh
sir apne bhout he acchi jankare de white hat seo or black hat seo ke bare me sir ager hme apne websites se smammy link remove krne ho to uske lye kya krna hoga.
iske liye aap google disavow links tool ka use kar sakte hai