GOOGLESEO

Feedburner Feed Me Only Post Link Summary Show Kaise Kare

Blog par high quality traffic pane ke liye hum har tarah ki search engine optimization (SEO) tricks follow karte hai. Inme se online email marketing yani ki r s s feed bhi shamil hai. Email marketing se blog ka traffic increase hota hai ye to aap acchi tarah se jante hi honge. Email marketing ke through hum apne purane visitors ko apne blog par wapas pahucha sakte hai. Lekin ye tabhi mumkin hai jab aap apne feedburner feed me only post link summary show karenge.

Feedburner feed me only post summary show karne ke liye aapko kuch setting karni hogi. Agar aap ye setting nahi karte hai to email subscribers ko full post content show hoga. Aur jab aapke readers ko puri post email me hi show ho jayegi to vo blog par visit kyu karega. Isse blog ka traffic kuch had tak to kam hoga hi ye to aap samajh hi gaye honge.

Kisi bhi blog ke liye email subscription ke kya fayde hai aur blog ke liye feedburner feed kaise banate hai. Ye to hum pichli post me jaan hi gaye hai. Aur blog me feedburner feed kaise add karte hai aur email subscription ko enable kaise karte hai. Ye bhi aap jaan hi gaye honge to chaliye ab janate hai ki feedburner feed me only post link summary show kaise karte hai.

Feedburner Feed Me Only Post Link Summary Show Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle apne feedburner feed account me login kijiye. Aur feed title heading ke niche apni jiss site ki summary burner ki setting karna chahte hai usspar click kare.

Only Post Link Summary Show

Only Post Link Summary Show

 

 

 

Step 2

Ab jo next page open hoga isme niche bataye gaye steps ko follow karna hai.

Only Post Link Summary Show

  1. Optimize option par click kare.
  2. Bottom left side me Summary Burner par click kare.
  3. Meximum length ke box me aap jitne numbers enter karenge blog post ke utne hi characters email subscribers ko show honge. Isliye yahapar jitne characters show karne hai vo number enter kijiye. Ya only lin show karne ke liye 0 enter kar dijiye. Isse subscribers ko only post link hi show show hogi.
  4. Teaser box me vo message type kare jo aap link ke sath subscribers ko show karna chahte hai. For example aap type kar sakte hai ki visit my site for full detail etc.
  5. Active button par click kare iske baad yahapar save button show hoga. Finally save button par click kar dijiye.

 

Save button par click karte hi aapko top side me You have successfully updated the feed” ka message show hoga. Iska matlab hai ki aapka site par only post link summary activate ho gaya hai. Ab aapke email subscribers ko full post ki jagah par only blog post ki link show hogi. Jispar click karne par vo aapke blog par redirect ho jayenge.

I hope ab aap jaan hi gaye honge ki feedburner feed me only post link summary show kaise karte hai. Phir bhi aapka iss post se related koi bhi saval ho to niche comment box me puch sakte hai. Aur agar aapko ye jaankari helpful lag rahi ho to isse social sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Feedburner Feed Me Only Post Link Summary Show Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.