Robots.txt File ko Blogger Blog Me Kaise Add Kare
Robots.txt file ko blogger blog me kaise add kare iss post me hum janenge, robots text file ko apne blog me add karke aap apne blog ki kuch posts or pages ko google search engine me index hone se rok sakte hai aur wapas indexing ko allow bhi kar sakte hai.
Sabhi blog or websites ki apni ek robot.txt file hoti hai aur uss robots text file me ye set rehta hai ki search engine me blog ke kis content ko index karna hai.
Kya index karna hai kya nahi, robots.txt me disallow ka use karke hum apne blog ya website ka koi bhi page or post ko google aur bing search engine me indexing se rok sakte hai.
Robots.txt File Kya Hai
Robots.txt file ek text file hoti hai jiski help se aap ye set kar sakte hai ki search engine jaise bing search engine ya google search engine me aapki site se kya hide karna hai ya kya show karna hai.
Agar koi visitors aapke blog se related keywords search karta hai to robots.txt disallow or allow ke according search result show karta hai.
Robot Text File Kaise Banate Hai
Robots.txt file generator me code generate karke aap apni website ke liye robots.txt file bana sakte hai, iske liye niche diye steps follow kare.
Sabse pehle Robots txt generator link par click kare.
- Apni website ka URL enter kare.
- Generate XML sitemap option par click kare.
- Iske baad jo Code generate hoga isse Copy kare.
- WordPress me 2 Factor Authentication Kaise On Kare
- Website Ke liye Terms and Conditions Page Kaise Banaye
Robots.txt File ko Blogger Blog Me Kaise Add Kare
XML sitemap create karne aur copy karne ke baad ap aapko apne Blogger blog me login karna hai aur copied xml sitemap code add karna hai, iske liye niche steps follow kare.
- Blogger dashboard me Settings option par click kare.
- Crowlers and indexing section me Enable custom robots.txt option ko enable kare.
- Custom robots.txt option par click kare.
Iske baad ek dialog box open hoga isme copied code past kare.
- Box me copy kiya hua XML sitemap code paste kare.
- Code paste karne ke baad finally Save option par click kar dijiiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapki website me custom robots text file add ho gayi hai, iss tarah se aap aasani se apne blogger blog me custom robot text file add kar sakte hai.
Lekin robots.txt me ek choti si mistake se search engines me aapki website ki traffic rank par bura asar pad sakta hai isliye apni site me xml sitemap ka use dhyan se kijiye.
Robots.txt Allow aur Disallow Kaise Use Kare
XML sitemap yani ki robots.txt file ki help se aap ye set kar sakte hai ki apni website me kaun si post, label aur page ko search engines me show nahi karna hai ya fir show karna hai.
Agar aap disallow me koi link add kar denge to search engines me vo show nahi karega, iss tarah se aap xml sitemap me allow code ka bhi use kar sakte hai, niche iske examples dekhiye.
For excample;
Post DisAllow karne ke liye
- Disallow:/2024/12/blog-post.html
Page Disallow karne ke liye
- Disallow:/p/contact-us.html
Labels Disallow karne ke liye
- Disallow:/seach/label/blog label
Thik iss tarah se aap Disallow ko Allow bhi kar sakte hai,
For example;
- Allow:/2024/12/blog-post.html
- Allow:/p/contact-us.html
- Allow:/seach/label/blog label
Iss tarah se aap robots.txt file ki help se ye set kar sakte hai ki search engines me kya index karna hai aur kya nahi.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki robots.txt file generate karke blogger blog me kaise add karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.