WordPress Password Reset Kaise Kare In Hindi
Hello friends, aaj iss post me mein aapko batane wala hu ki wordpress admin se apna password reset kaise karte hai. Vaise to other method ke through bhi aap apna wordpress password reset sakte hai. Lekin agar aap security reason se apna wordpress ke password ko phir se change karna chahte hai. To sidhe wordpress admin se easily koi bhi password apne according reset kar sakte hai.
Agar aap apna wordpress blog ke password bhul gaye hai to other method se apne password ko reset kar wordpress blog me login kar sakte hai. For example aap yoast user manager, wp emergency password reset script or phpmyadmin etc. Lekin yahapar mein aapko batana chahunga ki wordpress me login rehte huye bhi aap apna other password change kar sakte hai. Isliye agar aap apne current password ko reset karna chahte hai to niche diye easy steps follow kare.
WordPress Password Reset Kaise / How to Reset WordPress Password
WordPress blog ke password ko change karna bahut hi aasaan hai. Niche diye easy steps ki help se aap kabhi bhi apna wp password reset kar sakte hai. To chaliye janate hai ki wordpress ka password reset karne ke liye kya karna hai.
Step 1
Sabse pehle apne wordpress blog me login kare, aur wordpress dashboard me jaye.
- Users me jaye.
- Your Profile par click kare.
Step 2
Ab next page me aap apne wordpress profile page me pahuch jaoge. Thoda scroll down kare aur new password ke samne Generate password button par click kare.
Step 3
Generate password button par click karte hi password change karne ke liye option aayega. Isme pehle se alpha, numeric aur special characters ke sath strong password already enter hoga. Chahe to issi password ka use kar sakte hai. Otherwise aap apne according koi new strong password set kar sakte hai.
- New password enter kare ya automatically generated password ko choose kare.
- Show button par click karke aap password dekh sakte hai.
- Log out everywhere else button par click karke other device se log out kar sakte hai.
- Password change karne ke baad update profile button par click kar dijiye.
Lijiye update profile par click karte hi aapka wordpress site ka password change ho jayega. Issi tarah se aap apne wordpress blog ka password easily change kar sakte ho.
I hope aap samajh gaye honge ki wordpress blog ka password kaise change karte hai. WordPress blog ka password change karne se related aapko koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar aapko ye jaankari helpful lage to apne friends ke sath isse share bhi jarur kare.