FACEBOOK

Facebook Ka Password Kaise Pata Kare – Reset Facebook password – FB password recovery

Facebook password kaise pata kare, kaise forgotten fb password ko recover kar sakte hai iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap apna facebook password bhul gaye hai to aap kaise apne facebook password reset kar sakte hai, iss video me aap sikh jayenge puri jankari ke liye ye post padhe.

Aksar fb users apna fb password bhul jate hai aise me agar vo facebook me logged in hai to security and login feature me password option par click karke vo apna password change kar sakte hai, lekin iske liye bhi unhe apna old facebook password yaad hona chahiye tabhi new password reset kar sakte hai.

Aur agar facebook se logged out ho chuke hai to vo bina apna user id aur password ke wapas login nahi kar sakte hai, so agar aap bhi apne facebook accound se logout kar chuke hai aur apna password bhi bhul gaye hai to ab aapko apne facebook account me login karne ke liye password kaise reset karna hai chaliye step by step janate hai.

Facebook Ka Password Kaise Pata Kare – Reset Facebook password – FB password recovery

1 Sabse pehle Facebook app open kare.

2 Ab login page me Forgot password option par click kare.

3 Iske baad next interface me registered phone enter karne ka option aayega, so agar aapne email id se fb sign kiya hai to yahapar bottom side me Search by your email instead option par click kare.

4 Ab next interface me apni Email id enter karke Find your account option par click kare.

5 Iske baad next interface me aapka fb account find ho jayega to yahapar Continue option par click kare.

6 Ab next interface me apni email id me received OTP code enter karke Continue button par click kare.

7 Iske baad next page 2 options aapke samne aayenge to inme se koi bhi ek option select karke Continue button par click kare.:-

  1. Keep me logged in option ko select karne par password change karne ke baad other devices me aapka account log in rahega, agar dusre device me bhi facebook login kiya hai.
  2. Log me out of other devices option ko select karne par baki other devices se logout ho jayenge.

8 Ab next interface me aapke samne password change karne ka option aayega to yahapar New password enter kare aur Continue button par click kare.

9 Ab ek popup open hoga jisme aapka new password show hoga to isse kisi notepad me Note kar le aur Ok option par click kare.

10 Iske baad Login infomation save karne ka option aayega to yahapar Ok option par click kar dijiye jiske baad next time facebook open karne par user id aur password enter nahi karna hoga.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke facebook account me new password reset ho jayega jiske baad aap easily apne facebook account me login kar sakte hai.

I hope, aap samajh gaye honge ki facebook ka password kaise reset karte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.