Facebook Password Reset Kaise Kare Hindi Me Jaankari
Hello friends, aaj ke samay me internet use karne wala shayad hi koi esa byakti ho jo ki facebook se na juda ho, hum me se mostly logon ki facebook par apna account hai. kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki hum apne facebook account ka password bhul jaate hai aur login nahi kar patey hai. Issi problem ko dhyan me rakhte huye maine aaj ki post me ye batane ki koshish ki hai ki facebook password ko reset kaise kare, to chaliye start karte hai.
Facebook Password Reset Kaise Kare Hindi Me Jaankari
Step 1
Sabse pehle aap facebook ki site www.facebook.com open kare aur login form ke neeche “Forgotten password” par click kare.
Step 2
Iske baad Find Your Account ka page open hoga isme facebook user ID, email, ya phir facebook se connected number dalna hai.
1. Yaha par apni facebook id, email ya phir usernam dalna hai.
2. apni id dalne ke baad search ke button par click kare.
- Facebook Me Post Boost kaise Kare Or Post Promote Kaise Kare
- Kaise Check Kare Aapki Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha
Step 3
Iske baad facebook aapko password reset karne ke liye code bhejega, neeche diye gaye options me se aap chun sakte hai ki code kaha mangwana chahte hai.
1. Google Id par code received karne ke liye tick kare.
2. Email se code received karne ke liye tick kare.
3. Mobile par code received karne ke liye tick kare.
- Facebook Me Delete Hue Photos, Messages Aur Videos Ko Kaise Recover Kare
- Facebook Profile Ko Facebook Page Me Kaise Badle
Code Mobile Par Mangane Ke Liye
Ab ek dusri window open hogi isme aapko new paasword set karna hai.
1. Yaha par naya password dale.
2. Password ko dubara se enter kare.
3. Continue ki button par click kare.
Ab ek new window me confirmation hogi ki aapka password change ho gaya hai.
Code Email Me Mangane Ke Liye
Ab ek nahi window open hogi isme:-
1. New password dale.
2. Dubara vahi password dale.
3. Continue ki button par click kare.
Jaise hi aap continue par click karenge to aap dekhenge ki aapka password change ho gaya hai, iske liye niche image dekhe.
Dosto facebook password reset karne ki ye jaankari aapko kaisi lagi comment karke jaroor bataye. Aur agar ye post aapko acchi lagi ho to isse social sites par share karna na bhule.
Reset password ke liye email option per kisi or ki email lagi hai mujhe lag rahna hai yeh kisi nai hacke ke hai email change karna ke liye dusra option nahi aa raha hai
Help me
email change karne ke liye aap facebook me login kijiye, aur settings me general tab me jaye, ab contact me aapka purana email hoga just uske niche add another email address me click karke naya email id enter karke save changes par click kar dijiye, aapka email change ho jayega.
Hme password kisi dusre number pr chahia to kya krna pdega