Twitter Spam Followers Ko Kaise Remove Kare
twitter ek top social media application hai, jo ki aapko real time me short post ko update karne ki service provide karta hai, aur koi bhi twitter user aapko follow karte huye aapke sath jud sakta hai, aur inme twitter spam followers bhi ho sakte hai.
Bahut se log aise hote hai jinki ek bahut badi twitter following hoti hai, jaise ki bloggers, businessman aur celebrity etc, inke twitter followers ki list kafi lumbi ho sakti hai, but tab kya kare jab koi fake follower ya spammer aapko follow kare.
Spammers aapki creditably ko decrease kar sakte hai, but don’t worry kyuki twitter me block feature ka use karke aap uss spam follower ko block kar sakte hai, twitter bot followers ko kaise block karte hai aaiye dekhe.
Twitter Spam Followers Ko Kaise Remove Kare / How to Remove Spam Followers on Twitter
??Twitter Account Kaise Banaye
Step 1
Sabse pehle Twitter Account me login kare, aur apne home page par jaye, ab Followers tab me click kare.
??Twitter Follow Request Ko Kaise Prevent Kare
Step 2
Ab aapke samne aapke twitter followers ki list open ho jayegi, ab jiss follower ko apne account se remove karna hai, usse search kare.
- Gear icon par click kare.
- Block par click kare.
??Twitter Aur Facebook Ko Kaise Connect Kare
Step 3
Ab jaise hi aap block par click karenge to ek popup open hoga, isme block button par click kare.
??Twitter Followers Ko 5 Minutes Me Kaise Increase Kare
Step 4
Ab next window me aap dekhenge ki user blocked ho gaya hai.
Lijiye aap jiss twitter follower ko apni follower list se hatana chahte they ab vo user successfully remove ho gaya hai, isi tarah se jin jin users ko remove karna hai kar sakte hai, agar infuture aapko dubara uss user ko unblock karna hai to jitna easy block karna hai utna hi easy unblock karna bhi hai aur same gear icon se aap uss user ko unblock bhi kar sakte hai.
Agar aap humare sath twitter par judna chahte hai to yaha click kare.
Twitter spam followers ko remove karne se related ye jaankari aapko kaisi lagi, apne comment ke through hume jarur bataye, aur agar ye article aapko accha laga ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
gud info sir
thanks