X
    Categories: GOOGLE

Purana Google Account Recover Kaise Kare

Purana google account recover kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne old google account ko wapas restore karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to yahapar aapko old google account recover karne ki puri jankari mil jayegi.

Aksar log google par multiple account bana lete hai aur baad me unme se kuch google accounts ka use nahi karte hai, aise me hume yaad nahi rehta hai ki google par kaun kaunse account humne banaye huye hai,

Lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske though aap easily apne sabhi google account ka pata laga sakte hai aur pata lagane ke baad old google accounts ko restore bhi kar sakte hai, apne old google account ko recover karne ke liye niche diye steps follow kare.

Purana Google Account Recover Kaise Kare

1 Sabse pehle Google app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab ek popup open hoga isme apni current Gmail id ke samne Dropdown par click kare.

4 Iske baad apni gmail id ke niche Add another account option par click kare.

5 Ab next interface me Google option par click kare.

6 Iske baad apne phone ka Privacy lock ko unlock kare.

7 Ab google account sign in page open hoga yahapar Forgot email option par click kare.

8 Iske next interface me apna 10 digits ka Phone number enter karke Next option par click kare.

9 Ab next interface me apna Name enter karke Next option par click kare.

  • Iske baad searching process start ho jayega aur kuch hi der me aapke sabhi google accounts aapke samne aa jayenge, yahapar apne current logged in google account ke sath me aapko apna old google account bhi dikhayi dega.
  • Yahapar apni old Gmail id par click kare.

10 Iske baad password enter karne ka option aayega so agar aapko password bhi yaad nahi hai to yahapar Forgot password option par click kare.

11 Ab next interface me account recover karne ke liye Recovery email par click kare.

12 Iske baad code enter karne ka option aayega yahapar email me aaya hua Code enter karke Next option par click kare.

13 Ab next interface me bottom left corner me Update password option par click kare.

14 Iske baad password change karne ka option aapke samne aa jayega yahapar;

  • Create password ki field me apna naya password enter kare.
  • Confirm ki field me same password enter karke verify kare.
  • Save password option option par click karke password ko save kar dijiye.

Ye sabhi steps follow karne ke baad aapka old google account recover ho jayega ab google ki terms and conditions ko accept karenge to aapka apne google account me login ho jayenge, iss tarah se aap easily apne purane google account ko successfully recover kar sakte hai.

I hope, purana google account recover kaise karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More