Deleted google contacts ko recover kaise karte hai yani ki kaise aap galati se remove hue google contact ko restore kar sakte hai, aaj iss post me mein aapko bataunga.
Agar aapki phone ki contact directory se kuch saved contacts number delete ho gaye hai to unhe recover karne ke liye iss post ko end dhyan se padhe.
Aajkal sabhi android smart phones me google contact app pehle se hi inbuild hoti hai aur aapko usme sign in karna padta hai.
Aap apne phone me jo bhi contacts save karte hai uska backup automatically google account me save ho jata hai aur sath hi agar kisi email id hai to vo bhi save ho jati hai.
Aise me agar aapki contact list se galati se kuch numbers remove ho jate hai to aap kafi pareshan ho jaoge, aur unn numbers ko restore karne ke bare me jarur sochoge.
Lekin iss post me jo trick mein aapko bataunga iski help se aap easily deleted google contacts ko recover or restore kar sakte hai. Iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step janate hai.
Deleted Google Contacts Ko Recover Kaise Kare – Recover Deleted Google Contacts
1 Sabse pehle aapko apne android smart phone me Google chrome open karna hai.
2 Ab yahapar Contacts.google.com link ko open kare
3 Ab aapki phone ki contact list open ho jayegi yahapar aapko top right hand side me Settings icon par click karna hai.
4 kuch option aayenge to yahapar aapko Undo changes ke option par click karna hai.
5 Iske baad ek popup open hoga isme jisme aap last 10 minutes, 1 hour, yesterday, 1 week ya fir customize option me kisi ek ko select kare aur bottom side me Undo option par click kare.
Undo par click karte hi kuch hi time me aapke deleted google contacts restore ho jayenge. Yahapar aap pichle 30 days me delete hue google contacts ko recover kar sakte hai.
- Without Internet Connection Ke Gmail Use kaise kare
- 6 Uniqe and Interesting feature of Google Chrome Browser
I hope, ab aap samajh gaye honge ki deleted google contacts ko recover kaise karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friend circle me share jarur kare.