Agar aap twitter par followers request aane se pareshan hai to iska ek solution ye hai ki aap request ko deny kar dijiye, kyuki twitter follow request ko aap puri tarah se stop nahi kar sakte hai, lekin aap unn twitter users ki request ko prevent kar sakte hai jo aapko twitter par follow request send kar sakte hai.
Iske liye sabse pehle aapko apne twitter account me tweet ko protect karna hoga, isse hoga ye ki jab bhi aap tweet karenge to vo sirf aapke twitter followers ko hi show hogi aur publicly others users ko show nahi hogi, aur aapke following circle se bahar se jo aapke tweet ko padhkar aapko follow request bhejte hai, ab vo nahi bhejenge.
Agar phir bhi aapko follower request receive hoti hai, to bina aapke manual approval ke user aapke twitter account ko access nahi kar payenge, to chaliye start karte ki kya karna hai.
Twitter Follow Request Ko Prevent Kaise Kare
??Twitter Aur Facebook Account Ko Connect Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle twitter me login kare, aur apne twitter page me jaye.
- Top rightside me apni user image par click kare.
- Settings par click kare.
??Twitter Par Follower Ko 5 Minutes Me Kaise Badhaye
Step 2
Ab left side me Security and privacy link par click kare.
??Blogger Blog Me Twitter Widget Kaise Add Kare
Step 3
Ab thoda scroll down kijiye aur privacy ke niche protect my twitts tick box me tick kare.
??Twitter Account Kaise Banate Hai
Step 4
Finally bottom site me Save changes ke button par click kare.
??Facebook Ki Jankari Ke Liye Yaha Click Kare
Step 5
Ab ek popup open hoga isme apna twitter password re-enter karna hai.
- Apna twitter password enter kare.
- Save changes button par click kare.
??Google Ki Jaankari Ke Liye Yaha Click Kare
Step 6
Ab jab bhi koi twitter user aapko follower request send karega to aapko follow request par click karna hai.
??Youtube Ki Jankari Ke Liye Yaha Click Kare
Step 7
Ab agle page me aapko do options milenge Accept aur Decline, follower request ko deny karne ke liye Decline button par click kare.
Iss option ke through aap follower request ko ignore kar sakte hai, aur agar accept karna hai to accept button par click karke kar sakte hai.
Twiter follow request ko prevent kaise karte hai, ab aap jaan gaye hai, phir bhi koi problem ho ya aapka koi saval ho to aap comment ke through humse puch sakte hai, agar ye post acchi lagi ho to social networking sites par isse share karna na bhule.