X
    Categories: PHOTOSHOP

Adobe Photoshop Tools Ki Basic Jaankari | Photoshop All Tools Detail in Hindi

Adobe photoshop tools ka use kaise karte hai aaj iss photoshop tutorial me mein aapko batane wala hu. Adobe photoshop graphic designing ke liye ek bahut hi best aur popular tool hai. Basically iss tool ko passport size photo banane ke liye recomend kiya jata hai. Iss software ka use log apne business me graphics design karne ke liye karte hai.

For example iss application ka use blogging me, wedding card design karne me ya bahut se other business ke liye karte hai. Photoshop ka use karne ke liye hume sabse pehle adobe photoshop tools ki basic jaankari honi chahiye.

Agar aap soch rahe hai ki photoshop tool ke bare me kaise sikhe, to ye post aapke kaam aa sakti hai. Yaha se aap photoshop editor basic ke bare me jaan sakte hai. Aur photoshop tools ka use kaise karte hai iski basic jaankari aaj ke iss adobe photoshop tutorials se aap jaan payenge.

Starting me photoshop editor use karne me thodi dificulty mehsoos kar hoti hai. But ek baar aap photoshop editor use kar lenge to aapko ye kaafi aasaan lagne lagega. To chaliye aapka jyada time na lete hue adobe photoshop tools ko detail me samjhte hai.

Photoshop Shortcuts

Niche image me aap photoshop shortcuts dekh sakte hai aur inn photoshop shortcuts ka use karke aap apna kafi time save kar sakte hai. Vaise aap mouse ka use karke bhi inn photoshop shortcuts ko use kar sakte hai fir bhi aapko inki jankari honi chahiye ki kis key se aap kausa photoshop tool open kar sakte hai.

 

 

Adobe Photoshop Tools Ki Basic Jaankari Hindi Me Sikhe

Adobe Photoshop editor tools ka use karne ke liye ya photoshop painting ke liye sabse pehle apni photo ko open kare ya new file generate kare.

 

  1. File tab me jaye.
  2. New par click karke new layer ganerate kar sakte hai.
  3. Open par click karke apne computer gallery se photo select kar sakte hai.

Photoshop Layer Kya Hai

Layer photoshop editor me available ek transparent sheet hoti hai. Iss transparent sheet me aap one by one karke kai sheet add kar sakte hai. Pictures ki in sabhi sheets ko layer kehte hai. Forexample photo ka background aur foregrond alag alag layers ho sakti hai. F7 key press karke photoshop me layer box dekh sakte hai, aur wapas F7 se isse hide kar sakte hai.

 

 

Adobe PhotoShop Tools Detail

Marquee Tool (M)

Iss tool ki help se photo ke kisi perticular part ko select kar cut aur copy kar sakte hai. Marquee tool par right click karne se 4 alag alag shape me iska use kar sakte hai.

 

  1. Rectangular marque tool se photo ko square (choukor) select kar sakte hai.
  2. Elliptical marquee tool se photo ko round shape (golakar) select kar sakte hai.
  3. Single row marque tool se photo me horizontally line select kar sakte hai.
  4. Single column marque tool se photo me vertical single line select kar sakte hai.

 

 

Move Tool (V)

Iss tool ki help se photo me layer ko ek jagah se dusri jagah par move kar sakte hai. Move karne ke liye layer par click hold rakhe. Aur jaha par layer set karna hai, vaha par click chhod dijiye.

Lasso Tool (L)

Adobe photoshop tools me lasso tool bhi photo me perticular part ko select karne ke liye use hota hai. Ye tool marquee tool ka similar hai. But isme kisi photo ke background, foreground ko aur bhi acche tarike se select kar sakte hai.

 

Iss tool me teen subtools hai, jiska use alag alag tarah se kar sakte hai.

  1. Lasso tool se pencil ki tarah frilly select kar sakte hai, photo ke kisi part ko select karne ke liye start point par hold click karke end point par chhod dene se baki selection automatically ho jata hai.
  2. Polygonal lasso tool ko aap point to point click karke select kar sakte hai, starting point se drow karte hue agle point par click karne se perticular part select ho jata hai. Issi tarah se baki ka part click kar sakte hai. Agar galti ho jaye to point to point delete key se deselect bhi kar sakte hai
  3. Magnetic lasso tool photo me colour ke according kaam karta hai. Selection ke starting point par click kar de. Iske baad mouse ko without click selection part par move karte rahe. Ye tool magnet ki tarah kaam karta hai, same color ko automatically select ho jayega.

Magic Wand Tool (W)

Photoshop tools me magic wand tool ka use photo ke kisi perticular part ke color ko select karne ke liye hota hai. Color matching ke according magic wand tool selection karta hai. Agar aapki photo me 4 color hai, aur iss tool ka use karke aap kisi ek color par click karte hai to ye sirf ussi color ko select karega.

Crop Tool (C)

Adobe photoshop tools ke crop tool se apni photo ko acchi tarah se crop kar sakte hai. For example apni photo ko crop karke uska background change kar sakte hai.

 

Slice Select Tool (K)

Iss Tool se hum ek canvas ko kai alag alag tukdo me devide kar sakte hai, aur har slice ke liye different setting kar sakte hai. Iske sath hi har slice ko alag url, name, aur message ke sath set kar sakte hai.

Healing Brush Tool (J)

Iss tool ki help se photo editing me huyi galatiyo ko sudhar sakte hai. Forexample picture me spots, scratches ko repair kar sakte hai.

Brush & Pencil Tool (B)

Iss tool ka use aap brush aur pencil ki tarah kar sakte hai. Apnie image par par mark karne ke liye brush aur pencil dono ka use kar sakte hai.

Clone Or Pattern Stamp Tool (S)

Ye tool clone ki tarah stamp ki tarah kaam karta hai. Forexample jaise aap stamp pad me thumb lagakar kisi paper par thumb impression dete hai. Iss tool ki help se alt+click se selected item picture me dusri jagah par paste hota hai.

History Brush Tool (Y)

Iss tool ka use undo ki tarah hota hai, undo se purane changes ko wapas reset kiya jata hai. Vaise hi history brush tool se layer me jitne changes kiye hai, vo brush ke dwara wapas set ho jate hai. Iska ek or subtool hai art history brush tool, isse canvas pas click karne par automatically shapes create ho jate hai.

Erase Tool (E)

Iss tool ki help se apni photo ke upari layer ko erase kar sakte hai. Forexample aapne photoshop me apni photo open ki hai, to iss tool ka use karke apni photo mita sakte hai. Iske baad photo ka transparent layer hi reh jayega.

Paint Bucket Tool (G)

Iss tool se aap apni photo ke background ko ek sath color se bhar sakte hai. Ya kisi layer ko ek click me same colour se fill kar sakte hai. Agar aapki photo ka background white hai to isse ek click me green ya kisi dusre color me change kar sakte hai.

Blur Tool (R)

Iss tool ka use karke aap apni photo ya image ka koi perticular part ya puri image dhundli kar sakte hai. isse aap apni privacy banaye rakh sakte hai, aur apni image me kisi perticular part ko blur karke chupa sakte hai. Isme aapko 3 subbools milte hai, jisse alag alag tarah se apni photo ko blur kar sakte hai.

Dodge Tool (O)

Iss tool ki help se aap apni photo ko dark ya aur bhi jyada light kar sakte hai.

Path Selection Tool (A)

Iss tool ki help se kai sheets ya layers me kisi perticular ek layer ko select karne ke liye hota hai. Forexample canvas par 20 layers ke sath kaam kar rahe hai. Aur unn 20 layers me kisi ek shape ko select ya move karna hai, to iss tool se layer selection me vo layer select ho jayegi. Iska ek or subtool hai direct selection tool.

Type Tool (T)

Iss tool ki help se aap apni photo par type kar sakte hai. Isme 4 alag alag type ke text key kar sakte hai. For example 2 tarah se horizontal aur verticle type text likh kar sakte hai.

Pen Tool Photoshop (P)

Ye bhi ek photo selection tool hai, jiski help se aap photo ke perticular part ko select kar sakte hai. For example aapne ek photo open ki hai, aur uske face ko select karna chahte hai.

Iske liye sabse pehle pen tool photoshop par click kijiye, aur ab face ke starting selection point par click kare. iske baad chhote chhote hisse me face area par click karte rahe. Akhir me starting point par click karenge to aapka pura face select ho jayega.

Custom Shape Tool (U)

Iss tool ka use graphic designing me hota hai, jisse aap different shape bana sakte hai.

Notes Tool (N)

Adobe photoshop tools ke iss tool ki help se apni photo par koi bhi notes likh sakte hai. Iss tool ko select karne baad apni photo par click kare. Ab jo box open hoga usme notes likhe.

Eyedropper Tool (I)

Adobe photoshop tools me Iss tool ki help se aap apni photo me available colors ka use kar sakte hai. For example photo ke kisi perticular part ke color ko text, paint, pencil ya brush me use karna hai to eyedropper tool se easily color select kar sakte hai.

Hand Tool (H)

Agar selected photo ko zoom karte hai, to iss tool ki help se usse upar niche, daye baye move kar sakte hai.

Zoom Tool (Z)

Edit karte time iss tool ki help se apni photo zoom out aur zoom in kar sakte hai.

Color Selection Tool

Adobe photoshop tools me iss tool ka use color ko fill karne ke liye kiya jata hai. Jab bhi hum text, paint, pencil ya brush tool ka use karte hai, to color selection tool se alag alag color set kar sakte hai. For example background color aur foreground color etc.

Quick Mast Mode Edit Tool (Q)

Iss tool se aap apni photo ka mask taiyar karke alag save rakh sakte hai. Aur dusri copy me apni editing kar sakte hai. agar koi galati ho gayi to wapas dusri picture ka use kar sakte hai.

Screen Mode Tool (F)

Photoshop me open photo ko iss tool ki help se full mode me kiya ja sakta hai. Iss tool ka use photo ko full screen mode me karne ke liye hota hai.

Jump To Image Ready Tool (Ctrl+Shift+M)

Iss tool help se aap apni taiyar hui photo par jump karke uska preview dekh sakte hai. Aur dubara click karke wapas current mode me aa sakte hai.

Note:  Agar ek baar kisi bhi photoshop tool par click karte hai. To uss tool ko tab tak deselect nhi kar sakte hai. Jab tak aap dusra photoshop tool ko select nhi karte hai. For example agar lasso tool selected hai aur image ko upar niche drag karna hai. To pehle hand tool par click karna hoga. Otherwise lasso tool hi image par work karega.

Adobe photoshop tools ke inn sabhi tools se aap aasaani se photoshop ka use kar sakte hai. Ummeed hai aapko inn sabhi tools ki jaankari samajh me aayi hogi. Agar phir bhi aapka koi saval ho to hume comment karke puchh sakte hai. Aur agar ye adobe photoshop tools ki detail helpful lage to isse social media sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (18)