Photoshop Se Background Kaise Change Kare In Hindi
Hello friends, adobe photoshop kya hai ye aap acchi tarah se janate honge. Graphics designing ke liye photoshop ek bahut best tool hai. Pichli post me photoshop tools ki puri jaankari meine aapke sath share ki thi. Aur aaj iss article ke madhyam se hum janenge ki photoshop se background kaise change kare.
Photoshop ki help se kisi photo ka background badi aasaani se badal sakte hai. Aur apni photo ka backgrounds alag-alag tarah se change kar sakte hai. Agar aap nahi janate ki kaise photoshop ki help se photo ka background change karte hai, to niche diye gaye simple steps ko follow kare.
Kisi Bhi Photo Ka Photoshop Se Background Kaise Change Kare
Step 1
Sabse pehle adobe photoshop open kare. Ab Ctrl+O button se ek ek karke apni photo aur background image open kare.
Step 2
Ab dono image open karne ke baad niche diye steps follow kare.
- Rightside me layer me unlock par click kare, agar layer hide hai to F7 key press kare.
- Box me OK button par click kare.
- Photoshop tools me lasso tool par right click kare.
- Magnetic lasso tool select kare.
Step 3
Magnetic tool par click karte hi aapka mouse aero icon ek triangular cursor me change ho jayega. Mouse ko apni photo ke charo taraf borders par ghumaye. Ye tool magnet ki tarah kaam karta hai, isliye jaise jaise photo par mouse ghumayenge, ye apne aap photo ke border ko magnet ki tarah select karta jayega.
- Photo par selection jaha se start kiya tha wapas vahi par click kare, ya Ctrl+Enter key press kare.
- Photo selection complete hote hi layer Ke bottom side me add layer mask icon par click kare. Aisa karne se photo ka jitna area select kiya hai, uska background remove ho jayega.
Step 4
Ab selected photo ko background image me add karna hai.
- Move tool par click kare.
- Apni photo par hold click karke background image par drag kare.
- History brush tool par click kare.
- Ab photo ke border par mouse pointer se dhire dhire damages ko repair kar lijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya hai, aapki photo ka background change ho chuka hai. Ab isse save kar lijiye, setting karne ke baad aapki photo kuch iss tarah se show hogi, niche image dekhe.
I hope, aap samajh gaye honge ki photoshop se background kaise change kare. Phir bhi aapka koi saval ho to apne comment ke dwara puch sake hai. Aur agar ye post pasand aayi ho to isse social media par share bhi jarur kare.
Bagraund match kaise kare sir . Apki koi esase lagati post hai to mere mail pe link dijiye plize .. email. gohilfatesang4@gmail.com
jaldi iske bare me post publish karunga, vese photo background match ke liye refine tool ka use kar sakte hai. agar video dekhna chahte hai to hinglish help youtube channel me jake iss post ka video dekh sakte hai.
bhai mera ek sawal ki app image main jo arrow with number lagate ho wo kaise lagate ho pls khulke bataye
iske liye aap snagit software software ka use kijiye.
selection complete ho raha hai par next step me jab add mask layer par click karo toh hota hi nahi hai.
iski wajah se hamara process incomplete hai. iske liye ab hum kya kare.
pehle selected layer ke right side me lock ke sign par click karke unlock kijiye, uske baad add layer mask ka option open ho jayega.
Thank Bhaiya
Mujhe to Kuch nhi pta tha Lekin Ab mujhe Acha lgta hai logo ke Samne Kaam krta hu to thank you so much bhaiya jii
Welcome n keep visiting