Photo Ko Jodkar Video Kaise Banaye Camtasia Software Ki Help Se
Hello friends, aaj hum janenge ki apni photo ya images ko jodkar video kaise banate hai. Video editing ki ye ek basic trick hai jiski help se aap apni photo collection ko ek sath combined karke video create kar sakte hai. Video banakar youtube par upload kar sakte hai. Aur isse monetize karke paise bhi kama sakte hai. To chaliye janate hai ki apni alag alag photo ko jodkar video kaise banaye.
Photo Or Image Ko Jodkar Video Banane Ke Liye Kya Chahiye
- Computer aur aapka thoda sa time.
- Video banane ke liye pehli requirement hai, ek accha video editing software. Bahut se best software software hai jinki help se aap video bana sakte hai. Lekin mein aapko tech smith ka camtasia studio software ki help se video banane ke bare me bataunga. Ye software bahut hi simple aur easy to use hai.
- Ek audio file, mp3 song ya koi bhi audio jisse video ke background me add karna chahte hai.
- Aapki apni photos ya internet se download karke bhi video me add kar sakte hai.
Photo Ko Jodkar Video Kaise Banaye Camtasia Software Ki Help Se
Step 1
Sabse pehle apni jin photos aur audio file se video banana chahte hai. Unko apne pc me new folder banakar ek sath save kar lijiye.
- Audio file, mp3 song ya koi bhi music file. Jisko video me add karna chahte hai usse save karke rakhe dijiye.
- Apni images ko bhi ek sath save kar lijiye.
Step 2
Ab camtasia software open karke import media option par click kare. Iske baad apni photos aur audio file ko pc se select karke camtasia clipbin me import kare.
Step 3
Ab camtasia clipbin gallery me aapki images aur audio file import ho gayi hai. Iske baad niche diye steps ko follow kare.
- Audio file ko mouse se hold click karte hue drag kar. Aur track 1 me drop kar dijiye.
- Sabhi photo ko select kare. Inn photos ko bhi hold click karke niche track 2 me drop kare.
- Audio file track 1 me add ho chuke hai. Agar audio ki length kam ya jyada karni hai to mouse se kar sakte hai.
- Track 2 me dekh sakte hai, aapki photos bhi add ho chuki hai. Images ka size bhi mounse se ghata badha sakte hai.
- Play button dabakar upar frame me video ka preview dekh sakte hai.
- Finally produce and share par click kare. Aur video ko mp4 format me save kar dijiye.
Lijiye photo ko jodkar ab aapki video bankar taiyar hai. Issi tarike se aap other video bhi bana sakte hai. Abhi ke liye bus itna hi, next article me camtasia software ke bare me aur bhi jaankari share karunga.
Ye Bhi Padhe
- Photoshop Se Apni Photo Ka Background Kaise Change Kare
- Phhotoshop Tools Ki Puri Jaankari Hindi Me
- Passport Size Photo Kaise Banaye Photoshop Ki Help Se
- Advance Excel Ke Bare Me Puri Jaankari
- Facebook Ke Jaankari Hindi Me
- Youtube Ke Bare Me Puri Jankari
- Twitter Ke Bare Me Janane Ke Liye yaha Click Kare
I hope, aap samajh gaye honge ki photo ko jodkar video kaise banaye. Phir bhi aapka koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Mujhe aapko reply karne me khushi hogi. Aur agar aapko ye post acchi lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.
Sir mine kai baar photo aur music add karke youtube per dalne ki kosis ki kintu baar-baar copyright contant likhker aa jata hai koi aisi trick bataye ki copyright likhker na aye aur video monetige bhi ho jaye.
agar aap kisi aur ka music use karenge to copyright claim aata hi hai, aap google se copyright image ka use kar sakte hai aur youtube se corpyright music tracks ka use bhi kar sakte ho iske liye
Ramesh ji apne jo bataya wo sahi hai par camastia software free nehi hai so ishe uae karna sab ke liye possible….so agar app koi free tool ya website ki sugest kiya hota to bajut acha hota.
Thanks for suggestion next post me free tool ke bare me publish karuga
camtasia software free me mil sakta hai ya isko serial no. ke saath download kar sakte hain
1st month isse free me use kar sakte ho uske baad purchase karna padega
nice article
Great tips for making videos more attractive and eye-catching! That simple
custom thumbnail does open up a lot more opportunities for video marketing.
thanks for sharing
thanks n welcome