Phonepe voice notification kaise chalu kare iss post me hum janenge so agar aap koi business karte hai ya aapki koi shop hai to phonepe voice notification on karke aap har ek transactions par voice notification sun sakte hai.
Normal phonepe par voice notifications ko on nahi kar sakte hai, iske liye aapko playstore se phonepe business app ko install karna hoga, login karke verification process complete kar denge to fir aap business phone account me voice notifications ko enable kar sakte hai.
Phonepe merchant account banakar aap apne phone me voice notification to sun hi sakte hai iske sath hi aap phonepe smart speaker bhi order kar sakte hai aur smart speaker me payment transactions ki voice sun sakte hai, phone merhant kaise bante hai chaliye step by step janate hai.
- Phone pe Wallet Balance ko Bank Me Transfer Kaise Kare
- Phone Pe Account Permanently Delete Kaise Kare
PhonePe Voice Notification Kaise Chalu Kare
1 Sabse pehle Google playstore open kare.
2 Iske baad Phonepe business: merchant app install kare.
3 Phonepe merchant app install karne ke baad Signup complete kare.
4 Account successfully create hone ke baad Phone agent aapke store par visit karega jiske baad aaapka phonepe merchant account Activate ho jayega.
5 Business phonepe account active hone ke baad phonepe mechant app me Account option par click kare.
6 Iske baad next interface me Payment settings option par click kare.
7 Payment settings ke andar Payment alerts option par click kare.
8 Iske baad next interface me Voice notification option ko enable kare.
9 Enable karne ke baad voice notification me English language par click kare.
10 Ab next interface me english or hindi language ke sath kuch regional languages select karne ka option aayega inme se apni Language select kare.
11 Language select karne ke baad finally bottom side me Done option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad koi bhi aapko phonepe business me payment karega uss payment ki voice notification aapko sunayi degi.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki phonepe merchant account banakar voice notification ko on kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.