PhonePe Merchant Kaise Bane ? How to Create PhonePe Business Account
How to create phonepe business account yani ki phonepe merchant kaise bane iss post me hum janenge, so agar aap koi business karte hai, ya aapki koi shop hai to aap business payment receive karne ke liye phone pay merchant account create kar sakte hai.
Phonepe merchant account create karna simple aur aasaan hai, kuch hi simple steps follow karke aap easily apna phone pe merchant account create kar sakte hai aur fir phonepe merchant payement receive kar sakte hai.
Iske liye aapko pehle playstore se phone pe merchant app install karna hoga, jiske baad aap kuch simple steps ko follow karke apna phonepe merchant account create kar sakte hai, phone pe merchant ban sakte hai.
Agar aap phonepe merchant account yani ki phonepe business account create karna nahi janate hai, to niche diye gaye easy steps ko follow kare.
PhonePe Merchant Kaise Bane ? How to Create PhonePe Business Account
1Sabse pehle Google playstore open kare.
2Google playstore se Phonepe business: merchant app install kare.
3Install karne ke baad phonepe business app Open kare.
4Iske baad apni Location ka access allow kare.
5Iske baad next interface me bottom site me Login option par click kare.
6Ab next interface me apna Mobile number enter karke Continue option par click kare.
- Iske baad OTP code enter karne ka option aayega aur sath aapke mobile me ek otp aayega jo automatically fill hokar Verify ho jayega.
7Iske baad store type select karne ke 2 options aayenge inme:
- Shop/service option ko select kare, agar aapki koi shop hai ya koi offline business hai.
- Online business/website option ko select kare, agar aapki koi online business ya website hai.
- Store type select karne ke baad Continue option par click kare.
8Iske baad fir se store type select karne ka option aayega yahapar:
- Neighborhood store/daily needs option ko select kare, agar aapki koi chooti moti shop hai, koi small scale business hai jiska size 200 sq/ft se kam hai, jaise ki grocery shop, small eating point, clothing store or stationery shop hai.
- Premium retail/showrooms option ko select kare, agar aapke paas 200 sq ft se jyada ka show hai ya koi departmental store hai.
- Store type select karne ke baad Continue option par click kare.
9Iske baad aapke selected store type ki subcategories aayengi inme;
- Apni Subcategory select kare,
- Ab bottom side se ek popup open hoga isme Proceed option par click kare.
10Iske baad 4 steps ko complete karne ke options aayenge inme 1st step Business detail complete kare.
- Business name ki field me apni shop ka name enter kare, otherwise apna naam enter kare.
- Upload photos of store/service section me apni shop ki interior aur exterior ki photo upload kare.
- Are you currently using any other QR code to accept payment? section me No Select kare.
- Bottom side me Continue option par click kare.
11Ab 2nd step Business locaction complete kare.
- Search your business location section me search bar par click karke maps me apni location Pin kare.
- Iske baad apna Store address enter kare.
- Save and continue option par click kare.
- Business location save karne ke baad bottom side me Proceed to bank details option par click kare.
12Iske baad 3rd step Bank detail bhare.
- Select bank list se apna bank select karke Continue option par click kare.
- Iske baad Phone calls aur other Permissions ko allow kare.
- Ab apne phone number se linked Bank account select kare.
- Iske baad Select bank account type option me apna bank type select kare.
- Account type select karne ke baad Proceed option par click kare.
- Iske baad apna GST number enter kare otherwise nahi hai to skip GST option par click karke Confirm option par click kare.
13Iske baad 4th step KYC detail enter kare.
- Sabse pehle PAN card detail enter karke Proceed option par click kare.
- Iske baad Verification id detail enter kare, (for exp: voter card, aadhar, driving license etc)
- Verification id detail enter karne ke baad Proceed option par click kare.
14Iske phonepe merchant account ke liye aapki KYC successfully submit ho jayegi.
- Finally Request now option par click kar dijiye.
Iske baad phonepe agent aapke store par visit karega, aur aapke verification proess ko complete karega, agar agent visit nahi karta hai to vo aapko ek verification code bhejega jisse aapko agent ko batana hai.
Code confirm karne ke baad agent aapko ek phone number batayega, uss phone number par aapko call karni hai, call par aapko baat nahi karni hai, call connect hote hi vo call automatecally cut ho jayegi.
ye procees karne ke baad 24-48 hours me aapka verification process automatecally complete ho jayega aur aapko phonepe business account successfully create ho jayega.
Iss tarah se aap in sabhi steps ko follow karke apna phone pay business account create kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe