X
    Categories: PHONE PE

PhonePe Account Permanently Delete Kaise Kare

Phonepe account permanently delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap digital payment service phone pe ka use karte hai aur apne phone pe account ko hamesha ke liye delete kar dena chahte hai aur nahi janate ki phone pe account remove kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.

Apne phonepe account ko aap easily remove kar sakte hai lekin phone pe account delete karne se pehle aapko kuch baato ka khas dhyan rakhna hai jaise ki aapko phonepe wallet ka balance apne bank account me transfer kar dena hai, iske sath hi aapka gold balance aur phonepe gift balance zero hona chahiye.

Iske sath hi phonepe account me koi auto pay, payment remider, sip or mutual fund active na ho iss baat ka bhi aapko dhyan rakhna hai, agar aisa kuch nahi hai to aap easily apne phone pay account ko remove kar sakte hai aur phonepe account ko permanently delete kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

PhonePe Account Permanently Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle PhonePe app open kare.

2 Iske baad top left corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me saved Bank account par click kare.

4 Iske baad next interface me bottom side me Unlink bank account option par click kare.

5 Ab ek popup open hoga isme Unlink option par click kar dijiye.

6 Unlink option par click karte hi aapka bank account phone pe se unlink ho jayega iske baad aapko wapas home page me aana hai aur top right corner me Question mark circle (?) par click karna hai.

7 Iske baad phonepe ka help page open hoga to yahapar Profile option par click kare.

8 Ab next interface me My phonepe profile option par click kare.

9 Iske baad next interface me My phonepe account details option par click kare.

10 Ab jo next interface open hoga isme Deactivating my phonepe account option par click kare.

11 Iske baad next interface me I want to stop using my phonepe account permanently option par click kare.

12 Ab next interface me phonepe delete karne ka Reason select karne ka option aayega to yahapar apna reason select kare.

13 Reason select karte hi dropdown me kuch instructions aapke samne aayengi to yahapar bottom side me Deactivate phonepe account option par click kare.

14 Iske baad kuch details ko confirm karne ke liye chat window open hogi to yahapar Yes i have zero balance option par click kare agar aapka Phonepe wallet balance, gold balance or phone pe gift balance zero hai.

15 Ab bank account remove karne ke bare me pucha jayega to yahapar Yes it is removed option par click kare.

16 Iske baad active auto pay, payment reminder, sip or mutual fund ke bare me pucha jayega to yahapar No i do not have any active requests option par click kare.

Ye process complete karte hi aapki request successfully submit ho jayegi aur agle 3 days ke baad aapka phone pe account review karke permanently delete kar diya jayega, iss tarah se aap apne phonepe account ko permanently delete kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki phone pe account ko permanently remove kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More