Kisi bhi phone me bolkar call kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne mobile phone me voice command ke through call karna chahte hai aur nahi janate ki voice ke through calling kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Bolkar number dial karne ke liye aapko apne phone me voice access app ko install karna hoga jiske baad aap voice command dekar call to kar hi sakte hai sath hi apne poore phone ko voice se control kar sakte hai, voice command se call kaise karte hai chaliye steps by step janate hai.
Kisi Bhi Phone Me Bolkar Call Kaise Kare – Voice Access
1Sabse pehle Google playstore open kare.
2 Iske baad Voice access app install kare.
3 Ab sabhi permissions ko allow karke voice access ka Setup complete kare.
- Setup complete karne ke baad apne phone ko aap voice se control kar sakte hai, call karne ke liye niche diye steps follow kare.
4 Sabse pehle Show numbers bole.
5 Iske baad mobile screen me sabhi apps ke liye alag alag number asign ho jayega, yahapar Contact app ke liye Asign number bolna hai.
- For example 9 number asign hai to Click 9 bole.
6 Ab aapke contact list open hogi yahapar jiss contact ko call karni hai uske samne Call button ke liye asign number boliye.
- For example 18 number asign hai to yahapar Click 18 boliye.
- Iske baad aapke contact ki call dial ho jayegi.
7 Ab agar aapko call cut karni hai to Call reject button me asign number boliye.
- For example 31 number hai to yahapar aapko bolna hai Click 31.
Iss tarah se aap voice command dekar apne kisi bhi contact ko call kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.