ANDROID

Android Phone Me Ads Block Kaise Kare

Android phone me ads block kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne mobile phone me advertisement se pareshan ho gaye hai aur unwanted mobile ads ko disable karna chahte hai aur nahi janate ki android mobile phone me ads band kaise kare to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

Mobile phone me jo ads show hote hai unki permission kahi na kahi humne hi allow ki hoti hai jiski vajah se android phones me ads aate hai aise me aapko apne android phone ads block karne ke liye inn permissions ko disallow karna hoga kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

Android Phone Me Ads Block Kaise Kare

1 Sabse pehle Google app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab jo options aayenge inme Google account option par click kare.

4 Iske baad next interface me Data and privacy tab par click kare.

5 Ab data and privacy tab me personalized ads section me My ad centre option par click kare.

6 Iske baad next interface me Personalized ads option ke samne On option par click kare.

7 Ab kuch instructions aayengi to yahapar bottom right corner me Turn off option par click kare.

8 Iske baad next interface me Got it option par click kar dijiye.

9 Ab apne Phone ki settings open kare.

10 Phone ki settings me Google option par click kare.

11 Iske baad next interface me Ads option par click kare.

12 Ab next interface me Delete advertising id option par click kare.

13 Iske baad next interface me bhi Delete advertising id option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke phone me aapki google advertising id delete ho jayegi aur iske baad aapke phone me ads block ho jayenge, iss tarah se aap easily apne mobile phone me ads ko disable kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki android smartphone me ads ko block kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.