X
    Categories: PAYTM

Paytm Kya Hai Aur Paytm Account Kaise Banate Hai

Paytm kya hai aur paytm par account kaise banaye, aaj hum iske bare me janenge. Ye jaankari aapki paytm sign up karne me kafi help kar sakti hai.

Mobile me paytm ka use karne ke liye aapko playstore se apne android phone me paytm app download karna hoga. App download karne ke baad paytm wallet aapki pocket me hoga aur ab aap easily mobile se shopping kar sakte hai.

 

 

Paytm Kya Hai

Year 2010 me pay tm ki shuruwat hui thi,  aur aaj ye ek popular online mobile recharge provider ban chuka hai. Pehle jin kaamo me humara kafi samay barbad hota tha, ab paytm ki help unhe badi jaldi kar sakte hai. Jaise ki bijili aur pani ka bill, mobile rechard etc. Short me baat kare to paytm humara ek online wallet hai, jiski help se cash payment se chhutkara milta hai.

 

 

Pay tm Account Ke Liye Kya Chahiye

Agar aap paytm me account banana chahte hai to aapke pass online saving bank account ya credit card hona chahiye. Inki help se hum apna paytm wallet me paise dal sakte hai, aur phir pay tm account se kabhi bhi kahi bhi payment kar sakte hai.

 

 

Paytm Se Kya Kya Payment Kar Sakte Hai

Paytm se aap badi aasani se ghar baithe online payment kar sakte hai, jiske karan aapka kimti time ki saving hoti hai. Pay tm ke kuch payment options niche diye gaye hai, inke alawa bhi paytm ka use aap alag alag jagah par kar sakte hai. Iske sath hi mobile me cash back pane ke liye paytm promo code aur paytm coupons ka use bhi kar sakte hai, jo ki paytm me kafi poplar hai.

  • Prepaid aur postpaid mobile recharge paytm
  • LPG gas bill payment
  • Landline phone bill payment
  • Electricity bill payment
  • Water supply bill
  • Mobile data recharge
  • DTH recharge
  • Online shopping payment
  • Other bill payment & paytm recharge

 

Paytm Account Kaise Banate Hai

Lakho karodo log hai jo paytm ka use karte hai, aur unko iski acchi khasi jaankari hai. Lekin bahut se aise bhi hai jo iske bare me nahi janate hai. Agar aap bhi nahi janate ki paytm kya hai aur isme account kaise banate hai, to abhi paytm par account banane ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse pehle Paytm site me jaye, aur top right side me Sign up me click kare.

 

 

 

Step 2

Ab ek popup form open hoga, isse bhare.

  1. Sign up me click kare.
  2. Apna mobile number enter kare.
  3. Agar aapki email id hai to usse bhare.
  4. Paytm ke liye password choose kare.
  5. Tick box me tick kare.
  6. Create your Paytm Wallet button par click kare.

 

Step 3

Iske baad ek aur popup form open hoga, aur aapke mobile me ek OTP code bheja jayega.

  1. Mobile me aaya OTP code dale.
  2. Apna first name bhare.
  3. Last name bhare.
  4. Gender select kare.
  5. Finally create your paytm wallet ke button par click kar dijiye.

 

Lijiye aapka paytm account successfully create ho gaya hai, ab aap apne bank account se isme paise credit kar sakte hai.

 

 

Paytm Wallet Me Paise Kaise Dale / How To Credit Paytm Wallet

Paytm par aapka account to ban chuka hai, ab jarurat hai iss account me paise submit karne ki. Jisse ki aap aasani se bill payment kar sakte hai, paytm wallet ko kaise charge karte hai, aaiye dekhe.

 

Step 1

Sabse pehle apne paytm account me login kare.

  1. Paytm wallet par click kare.
  2. Jitne paise paytm account me dalne hai, usse bhare.
  3. Add money to wallet ke button par click kare.

 

 

Step 2

Ab next window me payment option ko choose karke paise submit karna hai.

  1. Apna payment method choose kare.
  2. Card detail bhare.
  3. Pay now button par click kare.

 

Dosto ab aapke paytm account me paise submit ho jayenge, ab aap jaan gaye hai ki paytm kya hai, aur paytm account kaise create karte hai. Agar aapka koi saval hai to comment karke puch sakte hai. Aur agar aapko ye post helpfull lagi ho to social networking sites par isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (23)

  • मुझे paytm में बैलेंस ऐड करते नहीं आ रहा है
    cvv क्या है ? ये समझ नहीं पा रहा हूँ कोनसा कोड है

    • cw code aapke credit card ke back side me 3 digit ka hota hai. usse use kare

    • 10,000 per month transaction, aur KYC process ko complete karne ke baad aap ek lakh tak bhi submit kar sakte hai

    • 10,000 per month transaction, aur KYC process ko complete karne ke baad aap ek lakh tak bhi use kar sakte hai

  • hello mera name arvind ahirwar hai me paytm account bana raha hu to me password dalta hu a likhkar aa jata hai help me. password should 5-15 length atleast 1 number /1 alphabet

    • sirf paytm account me paise dalne ke liye net banking ki jarurat hoti hai, vaise aap credit card se paytm account recharge kar sakte hai.

  • Maine glt. Se apna atm detail vr dia h jisse money add nhi ho pa rha h fr se hm kaise card detail vr skte h

    • fir se add money par click kijiye, amount bhariye ab card detail me remove card link par click karke dubara se bhar dijiye

    • ji ha karodo log iss application ia use karte hai aur ye bilkul safe hai

  • A/c me payment dalte h to
    Set your passcod no.four digit ka mangta h
    Konsa hota h

    • Isme aap kuch bhi number set kar sakte ho. Paytm me yahi aapka password hoga