Hello friends, aaj hum baat karenge paypal payment method ki, pichli post me humne jana ki paytm kya hai aur paytm par account kaise banate hai. Aur ye bhi jana ki BHIM app kya hai Aur Use kaise karte hai. Aur aaj mein aapko bataunga ki paypal kya hai aur paypal par account kaise banate hai. To chaliye start karte hai.
Paypal Kya Hai
Paypal ek online payment transfer karne ki website hai, jiski shuruwat december 1998 me hui thi. Lagbhag puri diniya me paypal ka use per day online money transfer ke liye kiya jata hai. Paypal par hum electronic fund transfer (EFT) ke through money send/receive kar sakte hai. Agar aap koi online business karte hai, to paypal account aapke liye best option hai. Mostly website money transfer ke liye paypal ka use karti hai. Aur agar aap online business karke income kar rahe hai to aapko paypal par account banakar iska use jarur karna chahiye.
Paypal Account Banane Ke Liye Kya Chahiye
Aapke paas agar niche di gayi ye chize hai to paypal par account bana sakte hai. Inke bina paypal par account nahi bana sakte hai.
- Bank Account
- Debit Or Credit Card
- PAN Card
- Email Address
- Mobile Number
- Mailing Address
Paypal Kya Hai Aur Paypal Par Account Kaise Banaye
Paypal par account create karna bahut aasaan hai, niche diye steps ko follow karke aap badi aasani se apna paypal account bana sakte hai. Paypayl kya hai ab aap jaan gaye hai ab step by step janate hai ki paypal par account kaise banaya jata hai.
Step 1
Sabse pehle peypal.com me jaye, aur Sign Up par click kare.
Step 2
Paypal par sign up karne ke liye diye gaye do types individual aur business account me se kisi ek par tick kare. Type choose karne ke baad continue button par click kar dijiye.
Step 3
Account type select karne ke baad next page me niche diye steps follow kare.
- Country (India) select kare.
- Apni email id enter kare.
- Password enter kare.
- Continue ki button par click kare.
Step 4
Ab next page me ek form open hoga, isse sahi se bhare.
- Apna pura name enter kare.
- Apni date of birth enter kare.
- Apni natinality aur country (india) select kare.
- Apna pura address bhare.
- Apna 10 digits ka mobile number enter kare.
- Paypal ki terms and condition tick box me tick kare.
- Finally Agree and create account button par click kar dijiye.
Step 5
Ab jo page open hoga isme card ko paypal account se link karne ka option aayega.
- Apne card ki detail enter kare.
- Link card button par click kare.
Link card par click karne ke baad next step me apna PAN card number enter kare.
Step 6
Ab agli window me aapka paypal me account bankar taiyar hai. Ab go to your account ki link par click kare.
Step 7
Ab next window me apna mobile number aur email confirm karna hai. Aur apne bank account ko paypal se link karna hai.
- Upar diye gaye steps ko follow karte hue aapka account create ho chuka hai aur debit card bhi linked ho gaya hai.
- Apna mobile number confirm kare. Confirm mobile link par click karte hi aapke mobile par ek otp sent kiya jayega. Aur ek otp enter karne ke liye ek box open hoga, mobile me aaya hua otp box me enter kare.
- Apni email id confirm kare. Confirm email par click karenge to email confirmation ka ek option aayega, iske baad aapke email id par ek email aayega isse open kare aur click to activat your accout button par click kare, aur apni email confirm kare.
- Apna bank account ko link kare. Link a bank account par click karke apna bank account number aur IFSC code bhare.
Step 8
Bank account ko link karne ke baad ab agle page me confirm in 4-6 days button par click karna hai. Paypal aapke bank account ko verify karne ke liye kuch amount usme deposit karega jo ki baad me apne aap deduct ho jayegi.
Lijiye ab aapke paypal account apply process complete ho gayi hai. Ab kuch hi dino me aapka paypal account confirm ho jayega, aur aap iss account ke through online transactions kar payege.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki paypal kya hai. Aur paypal par account banane ki kya process hai. Agar aapka koi saval hai to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lage to social media me share bhi jarur kare.