Part Time Extra Income Karne Ki 10 Trusted Method
Part time extra income yani ki ghar baithe paise kamane ka trend aajkal top par hai. Bahut se aise students hai. Jo apna school complete karne ke baad extra earning karna chahte hai. Aur kai employed person bhi hai jo part time extra income karne ke liye internet par search karte rehte hai.
Isliye iss post me mein aapko 10 aise trusted tariko ke bare me bataunga. Jiske through aap online ghar baithe earning kar sakte ho. To kya vo 10 method jinke through aap online money income kar sakte hai aaiye iss post me janate hai.
Part Time Extra Income Karne Ki 10 Trusted Method
Dosto agar aap internet par search karenge to aapko bahut si aisi website mil jayengi. Jo aapko earn money online part time ka offer deti hai. Jinke through aap alag alag method se online earning kar sakte ho.
Lekin inme se kaunsi site genuine hai aur kaunsi nahi iska logo ko pata nahi hota hai. Isliye iss post me mein aapko 10 aisi trusted method ke bare me bata raha hu. Jinse aap extra earning kar sakte ho. To chaliye dosto unn trusted aur genuine tariko ke bare me janate hai.
#1 Blogging
Agar aapko computer ki basic knowlege hai aur typing speed thik thak hai. To aap apna free blog banakar usme article post karke online earning kar sakte hai.
Blog par quality post publish karne ke baad aap iss paise kamane ke liye google adsense ke liye apply kar sakte hai. Aur ek baar aapka adsense account approved ho jaye to fir aap adsense ads blog post me laga kar earning kar sakte hai.
#2 Youtube
Agar aapko video banane ka shauk hai to aap youtube par video upload karke bhi acchi khasi earning kar sakte hai. Youtube se earning karne ke liye aapko sabse pehle youtube par channel create karna hoga. Aur uspar daily ek se do video upload karne honge.
Youtube terms and condition ke according agar aap 4000 watch hours aur 1000 subscribers ka criteria complete kar lete hai. To aapka youtube channel monetize ho jayega jiske baad aap youtube par video upload karke online earning kar sakte hai.
#3 Twitter
Twitter ka use har tarah ka vyakti karta hai, chahte aam ho ya khaas. Iss platform ka use lagbhag har field se jude huye log karte hai. Koi film star ho ya politician sabhi apne hisab se twitter ka istemal karte hai. Jaise ki politicians apni political campaigning ke liye aur film celebrities apni film ki promtoin ke liye twitter ka use karte hai.
Yahi nahi bade bade business man bhi twitter par apne products ko promote karte hai. Agar aapke twitter par acche khase followers hai to aap twitter se paise kama sakte ho. Twitter se aap do tariko se paise kama sakte hai. Pehla tarika hai sponsored tweet aur dusra tarika contest on twiter hai.
#4 Data Entry
Agar aapki keyboard par acchi pakad hai aur aapki typing speed thik hai. To aap ghar baithe data entry ka kaam kar sakte hai. Agar aap internet par search karenge to aapko bahut si aisi websites mil jayengi. Jinke through aap online data entry ka kaam kar sakte ho.
Ya fir aap kisi aisi company ya data centre se contact kar sakte hai. Jo data entry ka kaam aapko ghar par karne ke liye de sakti ho. Bahut se log hai jo koi job nahi karte hai aur ghar baithe data entry se acchi khasi earning kar rahe hai.
#5 Buy/Sell Old Products
OLX aur quickr ye do aisi sites hai jinpar aap old product ko buy or sell kar sakte ho. Bahut se log yaha se purana saman kharidte hai. Aur bahut se log aise hai iss tarah ki online buy/sell sites par apna old products bechte hai.
Aap bhi yaha se koi purana saman kam price me kharidkar usse thode jyada paiso me bechkar earning kar sakte hai.
#6 Sell Photographs
Shutterstock ek aisi site hai jispar aap photographs sell kar sakte ho. Issi tarah ki or bhi sites hai jo online photographs kharidte hai. To agar aapke paas ek accha camera hai ya koi smart phone hai. To aap usse photo click karke inn sites par bechkar earning kar sakte hai.
#7 Affiliate Marketing
Internet par search karenge to aapko bahut si badi aur trusted affiliate marketing companies mil jayengi. Jo affiliate programs run karti hai. Aap kisi bhi popular company ke sath judkar affiliate marketing kar sakte hai. Aapko sirf online affiliate company me apna account create karna hai. Iske baad uss company ke products ko dusre logo ko promote karna hai.
Promote karne ke liye aap social networking sites jaise facebook, twitter, google+ etc ka use kar sakte ho. Agar aap blogging karte hai to aap apne blog par affiliate marketing kar sakte hai. Aur affiliate marketing program se products share karke acchi income generate kar sakte hai.
#8 Freelancer
Freelancer site se bhi aap online earning kar sakte hai. Iss site par aapko apne interest ke according koi bhi job mil sakta hai. Iske liye aapko freelancer site par apna profile create karna hoga. Jisme aapko apna skill enter karna hai ki aap kya kya kar sakte ho. Iske baad aapko online work karne ke liye offer aane shuru ho jayenge. Jiske baad aap apne interest ke according kaam choose kar sakte ho. Aur ek online achi earning kar sakte ho.
#9 Readbud
Readbud ek aisi online service hai jaha se aap articles padhkar part time extra income kar sakte ho. Iss site par aap apne interest ke according articles choose karke read kar sakte ho. Isse aapki knowledge hi gain nahi hogi bulki aap part time extra income bhi kar sakte hai.
#10 NeoBux
Part time extra income karne ke liye neobux ek easiest way hai. Neubux par aapko advertisers ki websites ko browse karna hai. Aap website par visit karenge aur neobux aapko iske liye paise degi. Payment aap paypal, payza aur netteller ke through le sakte hai.
To dosto ye hai 10 tarike jinke through aap part time extra income kar sakte ho. Agar aap part time koi kaam dhund rahe hai to inn 10 tariko ka use kar sakte ho.
I hope, part time extra income karne ki ye jankari aapko pasand aayi hogi. Agar aapko koi saval ho to aap comment box me apna sawal puch sakte ho. Aur agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne dosto ke sath bhi share jarur kare.
बहुत ही अच्छी जानकारी रमेश जी.
thank you