Pan card se aadhar card link hai kaise pata kare iss post me hum janenge so agar aap nahi janate ki aapka aadhar card pan card se link hai ya nahi to iss post me bataye gaye steps ko follow karke aap easily pan aadhar link status check kar sakte hai.
Agar aapne pehle kabhi apna pan aur aadhar card ek sath use kiye honge to automatically aapka pan card aur aadhar card link ho gaya hoga, lekin kai logo ke pan aadhar fir bhi link nahi huye aise me agar aap check karna chahte hai ki aapka pan card aadhar se link hai ya nahi to niche diye gaye easy steps ko follow kare,
PAN Card Se AADHAR Card Link Hai Kaise Pata Kare
1 Sabse pehle Income tax website open kare.
2 Iske baad quick link section me Link aadhar status option par click kare,
3 Ab next interface me apne pan card aur aadhar card ki detail enter kare.
- PAN box me apna Pan card number enter kare.
- Aadhaar number box me apna aadhar card number enter kare.
- View link aadhar status option par click kar dijiye.
Iske baad aapke aadhar card aur pan card linking status aapke samne aa jayega aur ek popup me aapko “Your pan number already linked to given aadhaar number” message ek popup me aapko dikhayi dega.
Agar ye message aapko show hota hai to aapka pan card aadhar card se linked hai, lekin agar already linked ki jagah par not linked message aapko show hota hai to iska matlab hai ki aapka pan card aadhar card se link nahi hai.
Aise me aap upar diye gaye link par click karke pan card se aadhar card link kaise kare iski puri jankari le sakte hai aur apne aadhar card ko pan card se link kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki pan se aadhar linking kaise kare, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe