Agar aapka blog hai to apne blog me aap image ka use bhi jarur karte honge. Blog ki image reduce karke aap apni website ko fast aur responsive bana sakte hai. Isliye aaj ki post me mein aapko bataunga ki kis tarah se online image compressor (kraken.io) se aap apni blog me use hone wali picture ka size kam kar sakte hai.
Aapke blog ki images ki size jyada hone se aapki site ka loading time badhta hai. Site loading time badhne se humare visitors ko problem hoti hai aur site bhi sahi dhang se response nahi karti hai. Lekin agar aap apni blog me use hone wali images ko compress karke add karte hai to isse aapki site kafi fast open hogi aur aapki website access karne me visitors ko bhi problem nahi hogi.
Online Image Compressor Se Blog Image Size Ko Kam Kaise Kare
- Blogger Templates Ko Mobile Friendly Kaise Banaye
- Youtube Subscriber Button Ko Blog Me Add Kaise Kare
- Without WWW Ke Website Ko Kaise Set Kare
Step 1
Sabse pehle kraken.io link me jaye. Aur try free web interface par click kare.
- 8 Popular Tips Apne Blog Ki Traffic Rank Badhane Ke
- 404 Error Fix Kaise Kare WordPress Blog Me
- WordPress Blog Me Theme Upload Kaise Kare
Step 2
Ab jo page open hoga isme free option ke liye 2nd option (Select optimization mode) ko choose kare.
- Lossy image ki quality thodi kam bhi ho sakti hai. But size kafi kam ho jayega.
- Lossless me image quality lagbhag same hogi. But image size aur pixesls jyada kam nahi honge.
- Down aero sign par click karke apni image select kar sakte hai. Ya direct apni image ko pakadkar yaha par drag kar sakte hai.
- Image ko google drive, dropbox ya folder se bhi select kar sakte hai.
- Mobile Apps Kaise Bannaye Apne Blog/Website Ke Liye
- Blog Banane Ke Baad Kya Kare
- Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
Step 3
Image upload ya drag karne ke baad thoda sa scroll down kare. Niche dekh sakte hai image compress hona start ho jayegi. Aur kuch hi der me aap dekh sakte hai image ka original size, compressed size aur kitna kitna size reduce hua hai.
- Download file button par right click kare.
- Save link as par click karke image ko save kar lijiye.
- Ek se jyada image compressed ki hai to last me sabhi ko save karne ke liye Download All Kraked Files par click karke sabhi ko save kar lijkye.
Issi tarah se aap apni sabhi post ki images ko online image Compressor se compress karke apni website me use kar sakte hai. Aur site ka loading time ghata sakte hai. Aisa karne se aapki site fast open hogi aur aapke visitors ka time aur data ki saving hogi. Aur yahi nahi aapki site fast response karegi, aur visitors ko problem bhi nahi hogi.
Ummeed hai aapko ye post acchi lagi hogi. Iss post se related aapke koi bhi saval ho ya apna koi sujhav dena chahte ho to comment kare. Aur agar aapko ye post helpful lage to isse social media sites par share bhi jarur kare.
View Comments (4)
sr bhot hi accha jankari shre kiya hai aapne nc post
thanks
Nice information especially for those who are beginners and don't know how to resize image online. Other tools or websites available on the Internet, you can edit your image online.
thanks