Facebook Account Kaise Banaye Hindi Me Jane
Social networking sites me facebook ka naam top me aata hai aur jahir si baat hai ki aapka bhi account yaha par jaroor hoga. Agar aapne abhi tak apna account nahi banaye hai to iss post ki help se jaan sakege ki apna new facebook account kaise baneye.
About Facebook
Facebook website 2004 me launch hui thi, aur yeh ek social networking site hai, jo ki bilkul free service hai jispar log apna account banakar apne dosto se connect rehte hai.
Facebook Account Banane Ke Liye Kya Chahiye
FB me apna account banane ke liye aapko ek email id ki jarurat hogi. Agar abhi tak aapne apni email id nahi banayi hai to sabse pehle apni email id banaye.
Facebook Account Kaise Banaye / How To Create Facebook Account
Hum pichli post me ye to jaan hi chuke hai ki facebook me page banakar paise kaise kamaye aur bhule huye facebook ka password kaise reset kare, aur ab step by step janate hai ki facebook account create kaise karte hai.
??FB Account Delete Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle www.facebook.com par click kare.
- Apna first aur last name bhare.
- Email id enter kare.
- Dubara se email id dale.
- Password dale.
- Apni Janm tithi (date of birth) bhare.
- Apne gender ke tick box par tick kare.
- Creat an account button dabaye.
??Apna Facebook Par Account Deactivate Kaise Kare
Step 2
Ab aap apni email id open kare aur facebook se aayi email ko open kare. Isme confirm your account button par click kare.
??Facebook Ki Login Id Kaise Change Kare
Step 3
Confirm button par click karte hi aap sidhe apne fb account par pahuch jaayenge.
Account confirmed popup box me OK ka button dabaye, aapka facebook me account taiyar hai.
Dosto aapko facebook me account create karne se related ye post kaisi lagi, comment karke jarur bataye. Aur agar aapka koi saval hai to comment kar ke puch sakte hai.
Agar aapko ye post pasand aayi ho to apne dosto ke sath social media par share bhi jarur kare.