X
    Categories: ANDROID

Mobile Phone Storage Ko Increase Karne Ke Liye Kya Kare

Smart phones aajkal sabhi ke paas hai aur ye humari rojmarra ki jarurato me se ek ban gaya hai. Log jyada se jyada time apne smart phone me bitate hai. Aur isme social media app ke sath other apps bhi use karte hai. Lekin smart phone storage ki problem bhi logo ko face karni padti hai.

Agar aapke phone ki storage aur RAM kam hogi to aap na to koi photo click kar sakte hai. Aur na hi apne phone me kuch download kar sakte hai. Aise me agar aap apne phone me kuch download karte hai, koi video banate hai. Ya fir photo click karte hai to hume mobile phone storage kam hone ka alert show hota hai.

Agar aapka mobile phone storage ya RAM kam hogi to aise aap na to koi photo click kar sakte hai. Aur na koi kuch download kar sakte hai. Isliye aaj ki iss post me mein aapko kuch aise tips bata raha hu. Jiska use agar aap karte hai to apne mobile phone storage ko kukch hi seconds me badha sakte hai.

Mobile Phone Storage Ko Increase Karne Ke Liye Kya Kare

Apne android mobile phone ke storage ko kam karne ke liye aap computer ka use bhi kar sakte hai. Kyuki computer par jaldi se aap ye kaam kar sakte ho. Lekin agar aapke paas computer ya laptop nahi hai. To jaruri nahi ki aap apne mobile phone storage ko bina computer ke badha nahi sakte ho. Apne android phone ki RAM or storage badhane ke liye niche diye easy steps follow kare.

Mobile Phone Storage Ko Badhane Ke 7 Methods

#1. Smart phone ki storage badhane ke liye settings option me jakar cache files clear kare.

#2. Mobile phone me kai aisi apps hoti hai jinka aap use nahi karte hai. Aisi apps ko apne phone se delete kar de.

#3. Kai baar email ki attachements files bhi humare phone me save ho jati hai. Jo ki phone me kafi space gherti hai. Isliye inn files ko phone memory se remove kar dijiye.

#4. Humare phone me faltu ki photos aur old messages pade hote hai. Jinko delete karne ka hume dhyan nahi rehta hai. Isliye inn bekar ki photos aur old messages ko jaldi se delete kar de.

#5. Agar aap iphone use karte hai to aap Setting option me General me jaye. Ab Storage and cloud storage ke option me jakar Main storage par click kare. Ab yaha se unn files or photos ko delete kar dijiye jinka koi use nahi hai.

#6. Phone se sabhi faltu ki chize remove karne ke baad bhi agar aapko lag raha hai ki. Aapka mobile phone storage jyada increase nahi ho paya hai. To ab aap apne phone ke storage me available files, photos ya videos ko cloud storage me upload kar dijiye. Apne mobile phone ke data ko save karne ke liye cloud storage ek better option hai.

#7. Agar aap mobile par game khelte to game apps ke sath sath dusri jaruri apps ko SD card me move kar dijiye. Isse aapke mobile ka internal space increase ho jayega.

See Also

I hope, aapko mobile phone storage ko increase kaise karte hai ab aap samajh hi gaye honge. Agar aapko ye jankari pasand aayi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare. Aur agar aapka koi sujhav ho to niche comment box me de sakte hai.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More