Microsoft Excel Me Proper Function Ka Use Kaise Kare
Iss excel tutorial me mein aapko bataunga ki microsoft excel me proper function ka use kaise karte hai. Microsoft excel function me proper formula pehle se inbuilt hota hai. Isliye proper command ka use aap excel spreadsheet me easily kar sakte hai.
Proper function har ek word ka pehla character uppercase aur remaining characters ko lowercase me convert karta hai. Fir chahe aap ek word par proper formula use kare ya fir pure sentence me. Result me sabhi shabdo ka pehla akshar bada ho jayega.
Syntax
Microsoft excel me proper function ka use karne ke liye formula kuch iss tarah se hoga.
(TEXT) ki jagah par aap excel spreadsheet ki perticular cell ka address enter kar sakte hai. Jiss cell ke text ko aap proper (pehla character uppercase and remaining lower) karna chahte hai.
Microsoft Excel Me Proper Function Ka Use Kaise Kare
Microsoft excel me proper function ka use karna bahut hi easy hai. Iske liye koi excel vba command upload karne ki jarurat nahi hai. Chaliye dekhte hai kuch proper function examples ko. Aur janate hai ki excel spreadsheet me proper function ka istemal kaise kare.
For example: niche image me aap dekh sakte hai cell A1, A2 aur A3 me jo text hai. Vo lower or uppercase me available hai. Ab aapko another cell me proper furmula ka use karna hai. Jis tarah se image me B column me proper formula use kiya hai.
Proper function ka use karne ke baad ab aap result dekh sakte hai. Sabhi words ka pehla character uppercase me aur baki lowercase me ho convert gaye hai.
Iss tarah se aap single word ya fir kisi paragraph ko proper case me convert kar sakte hai. Simply proper function ka use karke.
I hope aapko microsoft excel me proper function ka use karne ki ye jankari acchi lagi hogi. Agar aapka koi sawal hai to niche comment box me puch sakte hai. Aur agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.