Message hack hai ya nahi kaise pata kare iss post me hum janenge, so agar aapko aisa doubt hai ki shayad aapke phone ki message app hacked hai, to yahapar jo trick mein aapko bataunga iske through aap easily check kar sakte hai ki aapke phone ke sms hack hai ya nahi.
Agar aapke mobile ke text message hack ho jate hai to hacker aapke poore phone ko bhi hack kar sakta hai, text message ke through otp mangwakar aapke phone ka access apne paas le sakta hai, aise me aapko time to time ye check karte rehna chahiye ki aapke message hacked hai ya nahi.
Apne phone ke messages ko aap apne hi dusre device me login kar sakte hai, aur device pairing karke dono devices me same messages ko dekh sakte hai, lekin agar aapne aisa kuch bhi nahi kiya hai to ye pata lagane ki liye ki aapke sms hack hai ya nahi niche diye steps ko follow kare.
Message Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare
1Sabse pehle Message app open kare.
2Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3Ab ek popup window open hogi isme Device pairing option par click kare.
- Iske baad next interface me aapko pata chal jayega ki aapke Message hack hai ya nahi.
- Yahapar kisi Unknown device ki login activity aapko dekhayi deti hai to fir aapke phone ke sms hacked hai.
- Yahapar QR code scanner option par click karke aap apni text message app ka qr code scanner open kar sakte hai.
- Aur fir dusre phone me Google message link open karke usme diye gaye qr code ko scan karke aap dusre phone me bhi same sms app ko login kar sakte hai.
- Lekin agar aapne apne messages ko dusre device me login nahi kiya hai to fir aap samajh lijiye ki aapki sms app hacked hai.
4Aise me unknown device ke niche Unpair all devices option par click kare.
5Iske baad ek popup hoga isme Unpair option par click kar dijiye.
Iske baad unknown device or unknown browser device pairing section se remove ho jayega, aur aapka phone ke messages ka access hacker ke paas se remove ho jayega.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki text message hack hai ya nahi kaise pata karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe