X
    Categories: ANDROID

Message App Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

Message app hack hai ya nahi kaise pata kare iss post me hum janenge so agar aapko aisa doubt hai ki aapke phone ki text message app ko kisi ne hack kar liya hai to iss post me batayi trick ke through aap easily ye check kar sakte hai phone ki text message app hacked hai ya nahi.

Agar aapke phone ki message application hack ho jati hai to hacker aapke pure phohe ko bhi hack kar sakta hai kyuki hacking ke liye jo otp code receive hoga vo text message ke through receive hota hai aur aise me hacker aapke phone ko bhi easily hack kar sakta hai.

Aise me aapko time to time ye check karte rehna chahiye ki kahi kisi ne aapke phone ki message app ko hack to nahi kar liya hai, iss post me batayi trick ke through aap ye easily check kar sakte hai aur agar message app hacked hai to hacker ka access kaise remove karna hai ye bhi aap iss post me sikh jayenge, to chaliye shuru karte hai.

Message App Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

1 Sabse pehle apne phone ki Message app open kare.

2 Iske baad top left corner me 3 lines par click kare.

3 Ab jo option aayenge inme Device pairing option par click kare.

  • Iske baad next interface me aapko ye pata chal jayega ki aapki message app hacked hai ya nahi yahapar paired devices section me agar aapko koi unknown device show hota hai to iska matlab hai ki aapki text message app hacked hai.

4 Aise me hacker ka access message app se remove karne ke liye yahapar Unpair all devices option par click kare.

5 Iske baad ek popup open hoga isme Unpair option par click kar dijiye.

Iske baad unknown device yaha se remove ho jayega aur hacker ka access bhi aapke phone ki message app se remove ho jayega, iss tarah easily aap check kar sakte hai ki message application hacked hai ya nahi aur agar hacked hai to kis tarah se hacker ka access hatana hai ye bhi aap samajh gaye honge.

I hop, ab aap samajh gaye honge ki message app hacked hai ya nahi kaise pata karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More