ADVANCE EXCEL

Microsoft Excel Me Only Last Name Separate Kaise Kare

Microsoft excel me only last name separate kaise kare. Matlab ki agar aapko full name se keval last name ko excel spreadsheet me alag cell me show karna hai. To kaise karenge aaj iss post me mein aapko bataunge.

Maan lijiye aapke paas individual name ki ek list hai. Aur uss list me se aapko sabhi name ke only last name ko alag column me show karna hai. Agar ek do name hai to usse aap manually bhi copy paste kar sakte ho. Lekin agar aap ek badi list ko manually copy paste karenge to isme aapka kafi time waste hoga.

Lekin iss post me mein aapko ek aisa formula bataunga jiski help se aap kuch seconds me hi badi se badi name list ko solve kar sakte hai. Aur sabse aham baat ki aapka keemti time ki bhi bachat hogi. To chaliye ab aapka jyada time naa lete huye janate hai. Ki microsoft excel me only last name separate kaise karte hai.

Microsoft Excel Me Only Last Name Separate Kaise Kare

For example ek Kanishka Rawat ek name hai aur iss name se hume last name Rawat ko other cell me show karna hai. To kaise karte hai aur sirf last name ko dusri cell me show karne ke liye kaunsa formula use hota hai aaiye jante hai.

Full name se keval last name ko different cell me show karne ke liye 3 formulas ka combination use hoga. Yani ki iss trick me 3 alag alag formula ko jodkar ek formula banakar use karna hai.

FIND

Last name ko other cell me show karne ke liye 1st formula hai Find. Aur find formula ka use full name ke beech me space find karne ke liye hota hai. Jaise ki aap niche image me dekh sakte hai ki space 9th number par hai. Find formula se ye pata lagta hai ki space kitne characters ke baad hai.

 

LEN

Last name ko separate cell me show karne ke liye jo 2nd formula use hoga vo hai Len. Name me total kitne charaters hai Len formula se iska pata chalta hai. Jaise niche image me dekh sakte hai name Kanishka Rawat me total 14 characters hai.

 

 

RIGHT

Last name ko other cell me show karne ke liye jo 3rd formula ka use hoga vo hai Right. Jaisa ki aap janate honge excel spreadsheet ki kisi cell me last name right side me hota hai. Isliye last name ko extract karne ke liye Right formula ka use hota hai.

Find formula se hume ye to pata chal hi gaya hai ki first aur last name ke beech me space kaunse number par hai. Aur Len formula se ye pata chalta hai ki name me total kitne characters hai. Ab formula Find aur Len ke numbers ka use karke hum last name ko other cell me show karne ka final formula Right ka use karenge.

 

Video Dekhe

To dosto iss tarah se aap microsoft excel me only last name ko other cell me easily show kar sakte hai. Ummeed hai aapko ye jankari helpful lagi hogi. Agar haa to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Microsoft Excel Me Only Last Name Separate Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.