Instagram Story Privacy Ki A to Z Settings Sikhe
Instagram story privacy ki a to z settings iss post me hum janenge so agar aap instagram user hai aur insta par apni story post karte hai to ye post aapke liye bahut hi jyada useful hone wali hai agar aap apni insta story par privacy add karna chahte hai.
Instagram par users ko apni story par privacy add karne option milta hai jiske through easily koi bhi user apni insta story ko public or private bana sakta hai kuch selected friends ko hi story show karwa sakta hai ya fir hide kar sakta hai.
Agar aap instagram par regularly story upload karte hai to aapko instagram story privacy ke bare me pata hona chahiye aur agar aap instagram story privacy settings ke bare me nahi janate hai to iss post me sikh jayenge isliye post ko end tak dhyan se jarur padhe.
Instagram story me privacy add karne ki kai alag alag settings users ko milti hai so agar aap inn sabhi story privacy features ko apne according customize karke use karne ke bare me nahi janate to niche diye easy steps ko follow karke aap easily apni insta story par privacy laga sakte hai to chaliye instagram story privacy settings ke bare me one by one karke janate hai.
Instagram Story Privacy Ki A to Z Settings Sikhe
1 Sabse pehle Instagram open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab profile page me top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad bottom side se kuch option aayenge to inme Settings option par click kare.
5 Ab instagram settings page me Privacy option par click kare.
6 Instagram privacy settings me interactions section me Story option par click kare.
Story option ko open karte hi instagram story par privacy settings add karne ke alag alag options aapke samne aa jayenge to chaliye inke bare me one by one karke janate hai.
Hide story from
Hide story from option ke through aap kuch selected friends se apni instagram story chupa sakte hai aur baki sabhi friends ko show kar sakte hai.
- Hide story from option par click karte hi aapki instagram contact list open ho jayegi.
- Ab contact list se jitne bhi users se apni story hide karna hai unn sabhi ko select kare.
- Iske baad aapko back aa jana hai jiske baad sabhi selected friends aapki story nahi dekh payenge.
Close friends
Iss option par click karke aap instagram par apni close friends ki list create kar sakte hai aur story post karte time sirf close friends ke sath hi apni story share kar sakte hai.
- Close friends list create karne ke liye iss option par click kare.
- Iske baad aapki contact list open hogi to yaha se unn sabhi friends ko select kare jo aapke best or khas friends honge.
- Finally bottom side me Done option par click kar dijiye.
- Iske baad jab bhi app instagram par story share karenge aapke samne 2 options aayenge to inme.
- Your story option par click karke publicly sabhi ke sath story share kar sakte hai aur
- Close friends option par click karke sirf apne khas dosto ke sath hi story share kar sakte hai.
Allow message replies
Iss option me aap ye select kar sakte hai ki aapki instagram story par kaun comment kar sakta hai yahapar.
- Everyone option by default selected hota hai jisse ki publicly koi bhi user aapki story par apna reply add kar sakta hai.
- People you follow option ko agar aap select karte hai to jin users ko aap follow karte hai sirf vo hi story par reply kar sakte hai.
- Off option ko select kar lijiye agar apni insta story par reply ko disable karna chahte hai.
Saving
Saving section me aap apni insta story ko automatically save hone ki settings enable kar sakte hai.
- Save story to gallery option ko enable kar dijiye agar aap chahte hai ki instagram par created aapki story automatically aapki mobile gallery me bhi save ho jaye
- Save story to archive option ko enable kar denge to instagram par disappear hone ke baad aapki story automatically archive section me save ho jayegi jinhe aap kabhi bhi open karke dekh sakte hai.
Sharing
Sharing option me aap apni instagram story ko other users ke ke dwara share kiye jane settings ko enable kar sakte hai yahapar.
- Allow sharing to story option ko enable kar denge to other users aapki story, feed posts aur igtv videos ko apni story me share kar sakte hai.
- Allow sharing to messages option ko agar aap enable kar denge to other users aapki story ke photos aur videos messages me share kar sakte hai.
Iss tarah se aap apni instagram story par privacy add kar sakte hai instagram story ki privacy ko apne according manage kar sakte hai.
I hope ab aap instagram story privacy ki all settings ke bare me acche se samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.