Instagram pe secret chat kaise kare iss post me mein aapko bataunga, agar aap instagram par apne friends ke sath direct messages ke through conversation karte hai aur secret chat ke bare me nahi janate hai to iss post me aap instagram secret conversation ke bare me sikh jayenge.
Instagram par apne kisi bhi friend ke sath ek aisi conversation kar sakte hai jo aapke aur samne wale ke chat se bahar aate hi delete ho jati hai, agar aap chat se exit hokar wapas chat open karenge to puri conversation remove ho jayegi.
Isliye agar aap instagram par apne kisi friend ke sath secret conversation karna chahte hai aur chahte hai ki aapki chat aapke aur aapke friend ke alawa koi third person na dekh paye to iss post me bataye gaye steps ko follow kare.
Instagram Pe Secret Chat Kaise Kare – Instagram Secret Conversation
1 Sabse pehle aapko Instagram open karna hai.
2 Ab top right corner par Direct message icon par click kare.
3 Iske baad aapki instagram chat list open ho jayegi to yahapar apne uss Friend ki chat open kare jisse delete karna hai.
4 Ab chat screen par touch karke upar ki taraf Drag kare.
5 Iske baad ye chat Vanish mode me open ho jayegi to ab apne koi Message type karke Send kar dijiye.
Message send karte hi aapka friend jaise hi aapka message open karega uske paas bhi vanish mode me open ho jayega aur ab jo bhi conversation aap ek dusre ke sath karenge vo puri tarah se secret rahegi.
Kyuki jaise hi aap ya aapka friend vanish mode ki conversation se exit honge aur fir wapas iss chat ko open karenge, puri conversation remove ho jayegi.
Aur jaise hi aap aur samne wala vanish mode ko disable karenge, normal chat open ho jayegi aur jo bhi conversation aapne pehle ki hogi vahi aapko show hogi, vanish mode ki chat show nahi hogi.
Iss tarah se koi bhi aapki chat ko nahi dekh payega aur aapki conversation secret rahegi, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.