X

Instagram Se Facebook Unlink Kaise Kare – Delink Facebook From Instagram

Instagram se facebook unlink kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Facebook se instagram delink karne ke liye aapko facebook aur instagram dono hi platforms par kuch settings karni hai, jiske baad aapke instagram account se facebook remove ho jayega.

Agar aapke instagram accounse facebook se connected hai to aap instagram par jo bhi photo video post karenge, vo automatically facebook par bhi share ho jayega.

Bahut se users ko ye feature pasand aata hai but kai aise users bhi bhi hai jo apne instagram se connected facebook account ko disconnect kar dena chahte hai.

Agar aapka instagram accont facebook account se linked hai aur aap unlink karna chahte hai, to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.

Instagram Se Facebook Unlink Kaise Kare – Delink Facebook From Instagram

Instagram ko facebook se delink karne ke liye aapko sabse pehle instagram se facebook disconnect karna hai fir facebook se instagram ko delink karna hai tabhi aap properly both account ko delink kar sakte hai. Instagra se facebook unlink karne ke liye niche diye steps ko follow kare.

Step 1

1 Sabse pehle apne Instagram account me login kare.

2 Ab bottom right side me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad top right side me 3 Lines par click kare.

4 Ab bottom side me Settings par click kare.

5 Ab jo options aayenge isme Account par click kare.

6 Account setting me Linked accounts ke option par click kare.

7 Next interface me aapke sabhi linked social accounts show ho jayege, yahapar Facebook par click kare.

8 Ab jo next page open hoga isme Unlink ke button par click kare.

9 Ab ek popup open hoga isme Yes unlink ke option par click kare.

Iske baad aapke facebook account instagram se delink ho jayega, lekin iske baad aapko facebook se bhi instagram account ko unlink karna hoga, iske liye niche diye steps follow kare.

Step 2

1 Sabse pehle apne Facebook account me login kare.

2 Top right side me 3 lines par click kare.

3 Ab bottom side me scroll kare aur Settings and privacy par click kar Settings par click kare.

4 Settings page me security section me Apps and websites ke option par click kare.

5 Ab jo page open hoga isme Logged in with Facebook ke option par click kare.

6 Next interface me aapke sabhi linked applications and websites aayengi to yahapar Instagram pa click kare.

7 Ab agle page me bottom side Remove ke option par click kare.

Iske baad facebook account se bhi instagram disconnect ho jayega, aur finally instagram par aapka linked facebook account delete ho jayega.

I hope aap samajh gaye honge ki instagram se facebook unlink kaise karte hai. Agar aap facebook aur instagram delink karne ki ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath bhi share kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More