Instagram Ka All Data Download Kaise Kare
Instagram ka all data download kaise kare iss post me mein aapko bataunga so agar aap instagram users hai aur apne instagram account ke all contents ko download karna chahte hai aur nahi janate ki instagram all contents download kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Apne instagram account ka all data download karke aap instagram par uploaded sabhi contents ko easily access kar sakte hai all instagram posts, photos, story or reels ko dekh sakte hai aur messages ko bhi easily access kar sakte hai, instagram ke all contents ko download karne ke liye kya karna hai chaliye step by step janate hai.
Instagram Ka All Data Download Kaise Kare
1 Sabse pehle Instagram app open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab apne profile page me top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad jo options aayenge inme Your activity option par click kare.
5 Ab next interface me bottom side me Download your infomation option par click kare.
6 Iske baad next interface me apni Email id enter karke Request download option par click kare.
7 Ab next interface me apna Instagram password enter karke top right corner me Next option par click kare.
8 Iske baad aapka Instagram data download hona start ho jayega yahapar bottom side me Done option par click kar dijiye.
- Aapke all data ko collect karne me instagram ko 1 hours, 1 days or meximum 30 days tak ka time lag sakta hai, ye aapke data par depend karta hai agar data kam hoga to jaldi hi instagram usse collect kar lega aur agar jyada hua to isme kafi jyada time lag sakta hai.
- Aapke instagram account ka all data jaise hi instagram collect kar lega aapko email ke through uss data ko send kar dega isliye iske baad time to time apni email inbox check karte rahe.
9 Iske baad apna Email inbox open kare.
10 Instagram ki taraf se bheji gayi Email open kare.
11 Email open karne ke baad isme Download information option par click kare.
12 Iske baad aapke phone ke default browser me instagram ka login page open hoga isme apna Instagram username aur password enter karke Log in option par click kare.
13 Ab next interface me downloading link aayega to yahapar Download information link par click kare.
- Click karte hi aapka instagram all data download hona start ho jayega aur kuch hi der me aapke instagram account ke all contents ki ek zip file download ho jayegi.
14 Iske baad apne phone ke Downloads folder ko open kare.
15 Ab downloaded Zip file select karke bottom right corner me More option par click kare.
16 More option par click karte hi kuch or option aayenge inme Extract files option par click kare.
17 Iske baad ek popup open hoga isme Extract to parent folder option par click kare.
18 Ab zip file se ek Folder extract ho jayega ispar click karke open kare.
Folder open karte hi aapke samne aapke instagram account ka all data aa jayega yahapar alag alag categories ke folders aapko show honge jaise ki aapki instagram posts aur other data ka ek alag folder hoga, comments ka alag folder hoga issi tarah se profile information etc ka alag folder hoga.
Inn sabhi folder par click karke aap unse related html file dekh sakte hai aur html file open karke aap apne data ko access kar sakte hai.
Apni instagram ki alag alag infomations ki html file open karne ke liye aap chrome browser ko select kar sakte hai ya fir html viewer app install karke apni informations ko dekh sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki instagram ke all contents ko download kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.