Instagram deleted post or story restore kaise kare iss post me mein aapko bataunga, agar aap instagram user hai aur instagram par aapki koi post galati se delete ho jati hai ya aapki story delete ho jati hai to usse aap easily recover kar sakte hai, iske liye aapko iss post me bataye gaye easy steps ko follow karna hai.
Instagram ki deleted post ya story ko restore karna bahut hi simple hai aur agar aapki instagram posts or story galati se remove ho jati hai to aap unhe 30 days ke under recover kar sakte hai aur agar 30 dino me aapne instagram stories or posts recover nahi kiya to vo permanentaly instagram se remove ho jayengi.
Isliye agar aapko apni deleted posts or stories ko recover karna hai to delete hone ke 30 days ke under hi aapko niche diye gaye steps follow karne hai tabhi aap recover kar payenge, instagram ki deleted posts or stories ko wapas kaise restore kare hai chaliye iss post me janate hai.
Instagram Deleted Post or Story Restore Kaise Kare
1 Sabse pehle Instagram app open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab next interface me top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad next interface me Account option par click kare.
5 Ab account settings me Recently deleted option par click kare.
6 Iske baad next interface me first tab me Deleted post show ho jayegi to uspar click kare.
7 Ab top right corner me 3 dots par click kare.
8 Iske baad bottom side se ek popup open hoga to isme Restore option par click kare, jiske baad post recover ho jayegi.
9 Ab story restore karne ke liye Second tab par click kare.
10 Ab jo Story recover karni hai usse Open kare.
11 Iske baad bottom right corner me 3 dots par click kare.
12 Iske baad Restore option par click kar dijiye, jiske baad aapki deleted story recover ho jayegi.
Iss tarah se aap easily apni deleted instagram story ya post ko restore kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.