INSTAGRAM

Instagram Chat Delete Kaise Kare – How to Remove Instagram Direct Messages

How to remove instagram direct messages yani instagram chat delete kaise kare iss post me mein aapko bataunga, agar aap instagram par apne kisi bhi friend ki chat or direct messages ko delete karna chahte hai to iss post me bataye gaye steps ko follow kare.

Instagram par agar aap apne kisi friend ki chat open karenge to vahapar aap sirf apne send kiye gaye messages hi delete kar sakte hai, iske liye aapko apne sent messages par long press karna hoga jiske baad bottom side se kuch options aayenge jinme se aapko unsend option par click kar dena hai.

Lekin agar aap chat me apne friend ke received messages par long press karenge to vahapar aapko delete karne ka koi bhi option show nahi hoga, sirf report, reply, forward or copy option ke hi options aayenge, lekin message remove karne ka koi bhi option nahi aayega.

Iskliye agar aap instagram pe kisi bhi friend ki puri chat ek sath delete karna chahte hai to iss post me jo trick mein aapko batane wala hu iske through aap one click me puri ki puri chat clear kar sakte hai, instagram chat delete or remove kaise karte hai chaliye iss post me janate hai.

Instagram Chat Delete Kaise Kare – How to Remove Instagram Direct Messages

1 Sabse pehle Instagram open kare.

2 Ab top right corner me DM’s option par click kare.

3 Iske baad aapki insta chat list open ho jayegi to yahapar uss Friend ki chat par Long press kare jisse delete karna hai.

4 Ab bottom side se ek popup open hoga to isme Delete option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaa ho gaya delete option par click karte hi aapke uss friend ki puri conversation remove ho jayegi, jitne bhi messages aapne ek dusre ko send kiye honge vo sabhi delete ho jayenge.

Iss tarah se aap easily instagram par apne kisi bhi friend ki conversation ko on click me remove kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friend ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.