Instagram account permanently delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aapne instagram par multiple accounts create kiye hai aur unn sabhi account ko use nahi karte unme kuch accounts ko remove karna chahte hai to ye post aapke liye hi hai.
Bahut se log instagram par multiple accounts bana lete hai aur unme se kuch accounts ko use nahi karte hai aur unhe permanently delete kar dena chahte hai lekin iski jankari unhe nahi hoti hai isliye agar bhi nahi janate hai to niche diye steps follow kare.
Instagram Account Permanently Delete Kaise Kare
1 Sabse pehle Instagram open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab profile page me top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad kuch options aayenge to inme Settings option par click kare.
5 Ab settings page me Help option par click kare.
6 Iske baad jo next interface open hoga isme Help centre option par click kare.
7 Ab next interface me top right corner me 3 lines par click kare.
8 Iske baad next interface me kuch options aayenge to inme Manage your account option par click kare.
9 Ab jo next page open hoga isme Delete your account option par click kare.
10 Iske baad next interface me kuch aur options aayenge to yahapar How do I delete my instagram account ke drop-down par click kare.
11 Ab next interface me scroll karke niche ki tarah aaye aur Delete your account option par click kare.
12 Iske baad next interface me account delete karne ka Reason select kare.
13 Reason select karne ke baad apna Password enter kare.
14 Iske baad bottom left corner me Delete option par click kare.
15 Ab ek popup open hoga to isme finally Ok option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ye process complete karne ke baad instantly account delete nahi hoga balki 30 days ke baad aapka instagram account permanently remove ho jayega.
30 dino ke ander agar aapka mind change ho jata hai to aap instagram par fir se account login karke recover bhi kar sakte hai.
Lekin agar permanently delete karna hai to 30 days tak aapko account me login nahi karna hai.
Iss tarah se aap easily apne instagram account ko permanently delete kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki instagram account ko permanent remove kaise karte hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
View Comments (5)
Gaali de Raha tha meko ye ladka
Gaali de Raha tha meko
Gaali de Raha hai meko
Gaali deta hai Roz meko
My Instagram account disabled